karachi
dhueñ aur dhuul meñ kaalā gulāb
yahāñ par sātvāñ dar ism se mahrūm
bose kī vilādat ke liye sūkhe hue hoñToñ kī shikneñ
barf kī qāsheñ
zamīñ kā bāñjh-pan apnā hisār
shunīda nā-shunīda rāstoñ kī garm rāteñ
jism ke bāloñ kā uunī coat
sindh ke dariyā kī lahroñ kī ravānī
do taraf keloñ ke bāġhīche
nigāhoñ kī bikhartī ret meñ ta.amīr hote barber
sah-manzila ashjār ke pīchhe laraztā Traam kā lohā
guzartī raat kī charbī pe jamte aa.ine se din
ḳhas-o-ḳhāshāk kī bāDoñ ke pīchhe sim-zada umroñ
ke buuTe
pur-shikan choġhoñ meñ Dhalte maas be-girya
yahī gardān piile harf kī zanjīr
gamloñ meñ ugaa.e saare paude
qufl ban kar sāmne haiñ
jism ke aaTe meñ donoñ haath
din aur raat din aur raat gūñdhte haiñ
pahlī sūraj kī kiran ke saath
machheroñ ke tane rise
samundar kī jaḌī hañsulī pe girte haiñ
dhuen aur dhul mein kala gulab
yahan par satwan dar ism se mahrum
bose ki wiladat ke liye sukhe hue honTon ki shiknen
barf ki qashen
zamin ka banjh-pan apna hisar
shunida na-shunida raston ki garm raaten
jism ke baalon ka uni coat
sindh ke dariya ki lahron ki rawani
do taraf kelon ke baghiche
nigahon ki bikharti ret mein tamir hote barber
sah-manzila ashjar ke pichhe larazta Tram ka loha
guzarti raat ki charbi pe jamte aaine se din
KHas-o-KHashak ki baDon ke pichhe sim-zada umron
ke buTe
pur-shikan choghon mein Dhalte mas be-girya
yahi gardan pile harf ki zanjir
gamlon mein ugae sare paude
qufl ban kar samne hain
jism ke aaTe mein donon hath
din aur raat din aur raat gundhte hain
pahli suraj ki kiran ke sath
machheron ke tane rise
samundar ki jaDi hansuli pe girte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.