karachi ka traffic
chashm-e-bad-dūr karachi meñ traffic kā nizām
ūñT-gāḌī kī gadhā-gāḌī kī Tik-Tik kā nizām
rāhgīroñ se police vāloñ kī jhak jhak kā nizām
kitnā choukas hai ye pasmāñda mamālik kā nizām
raah roke hai police ''kār-guzārī'' dekho
kis tarah jaatī hai shāhoñ kī savārī dekho
dekho vo jaatī hai rishvat se ḳharīdī huī car
sehn-e-gulshan meñ ho jaise guzarāñ mauj-e-bahār
paak dāman pe nahīñ us ke zarā gard-o-ġhubār
chor-bāzār meñ phirtī hai ba-sad-izz-o-vaqār
kyā ho is car ke nīche jo koī aa jaa.e
be-vasīla ho to lambī sī sazā pā jaa.e
na ḳhudā kā hai ise Dar na hai insān kā Dar
na ise rakhshā chalāte hue haivān kā Dar
na police kā hai ise ḳhauf na chālān kā Dar
hai agar Dar to usī mard-e-musalmān kā Dar
ūñT-gāḌī pe sajā.e jo julūs aatā hai
jis tarah muttahid aqvām meñ ruus aatā hai
ūñT-gāḌī jo saḌak par nazar aa jaatī hai
''cadillac'' car ise dekh ke sharmātī hai
''buick'' meñ huuk sī uThtī hai to bal khātī hai
''mercury'' Thahartī hai ''dodge'' bhī katrātī hai
mujh ko tujh se jo hai ulfat vo hai one-way saaqī
ham bhī haiñ tere hī allāh ke bande saaqī
bus chalī jā rahī hai umr-e-gurezāñ kī tarah
Thas ke baiThe haiñ musāfir saf-e-mizhgāñ kī tarah
mubtalā pech meñ haiñ zulf-e-pareshāñ kī tarah
dar pe laTke haiñ bashar ḳhār-e-muġhīlāñ kī tarah
race kartī haiñ baseñ shahar ke bāzāroñ meñ
haiñ ye sab qābiz-e-arvāh ke auzāroñ meñ
rickshaw jaatī hai dikhātī huī josh aur ḳharosh
aur vo naġhma jise sun ke ho jheñgur ḳhāmosh
kaisī bal khātī huī jaatī hai tūfān-ba-dosh
baiTh kar jis meñ savārī ke bhī uḌ jā.eñge hosh
jab gaḌhā aatā hai raste meñ uchhal jaatī hai
apnī chañdiyā ko savārī jo hai sahlātī hai
ek hafta bhī traffic kā manā.egī police
jāda-paimā.ī ke ādāb sikhā.egī police
ik gadhā shahar meñ se chun ke jo lā.egī police
us ko har tarah se insān banā.egī police
hafta bhar ba.ad vo ho jā.egā pahlā sā gadhā
laakh sar maarā magar kuchh nahīñ sīkhā na paḌā
kitnā achchhā hai karachi meñ traffic kā nizām
na to public na police vāloñ ke muñh meñ hai lagām
roz chaurāhoñ pe kartī hai police mashq-e-kalām
jāda-paimāoñ kā jaarī hai vahī tarz-e-ḳhirām
jā-ba-jā board pe likkhā hai ki ḳhāmosh raho
''fikr-e-fardā na karo mahv-e-ġham-e-dosh raho''
chashm-e-bad-dur karachi mein traffic ka nizam
unT-gaDi ki gadha-gaDi ki Tik-Tik ka nizam
rahgiron se police walon ki jhak jhak ka nizam
kitna choukas hai ye pasmanda mamalik ka nizam
rah roke hai police kar-guzari dekho
kis tarah jati hai shahon ki sawari dekho
dekho wo jati hai rishwat se KHaridi hui car
sehn-e-gulshan mein ho jaise guzaran mauj-e-bahaar
pak daman pe nahin us ke zara gard-o-ghubar
chor-bazar mein phirti hai ba-sad-izz-o-waqar
kya ho is car ke niche jo koi aa jae
be-wasila ho to lambi si saza pa jae
na KHuda ka hai ise Dar na hai insan ka Dar
na ise rakhsha chalate hue haiwan ka Dar
na police ka hai ise KHauf na chaalan ka Dar
hai agar Dar to usi mard-e-musalman ka Dar
unT-gaDi pe sajae jo julus aata hai
jis tarah muttahid aqwam mein rus aata hai
unT-gaDi jo saDak par nazar aa jati hai
cadillac car ise dekh ke sharmati hai
buick mein huk si uThti hai to bal khati hai
mercury Thaharti hai dodge bhi katraati hai
mujh ko tujh se jo hai ulfat wo hai one-way saqi
hum bhi hain tere hi allah ke bande saqi
bus chali ja rahi hai umr-e-gurezan ki tarah
Thas ke baiThe hain musafir saf-e-mizhgan ki tarah
mubtala pech mein hain zulf-e-pareshan ki tarah
dar pe laTke hain bashar KHar-e-mughilan ki tarah
race karti hain basen shahar ke bazaron mein
hain ye sab qabiz-e-arwah ke auzaron mein
rickshaw jati hai dikhati hui josh aur KHarosh
aur wo naghma jise sun ke ho jhengur KHamosh
kaisi bal khati hui jati hai tufan-ba-dosh
baiTh kar jis mein sawari ke bhi uD jaenge hosh
jab gaDha aata hai raste mein uchhal jati hai
apni chandiya ko sawari jo hai sahlati hai
ek hafta bhi traffic ka manaegi police
jada-paimai ke aadab sikhaegi police
ek gadha shahar mein se chun ke jo laegi police
us ko har tarah se insan banaegi police
hafta bhar baad wo ho jaega pahla sa gadha
lakh sar mara magar kuchh nahin sikha na paDa
kitna achchha hai karachi mein traffic ka nizam
na to public na police walon ke munh mein hai lagam
roz chaurahon pe karti hai police mashq-e-kalam
jada-paimaon ka jari hai wahi tarz-e-KHiram
ja-ba-ja board pe likkha hai ki KHamosh raho
fikr-e-farda na karo mahw-e-gham-e-dosh raho
- Book : Shokhi-e-Tahrir (Pg. 87)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.