karachi
karachi meñ dekhī hazāroñ kī hastī
qarār-āfrīñ be-qarāroñ kī bastī
amīroñ ke bangle ġharīboñ ke chhappar
balā kī bulandī qayāmat kī pastī
sharīfoñ kī aur shahryāroñ kī duniyā
kahīñ rel-pel aur kahīñ tañg-dastī
nikhartā buḌhāpā machaltī javānī
kahīñ but-garī hai kahīñ but-parastī
javānoñ ke pahlū meñ khilte hue dil
hasīnoñ kī nazroñ se bāda-parastī
ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ clifton pe aa kar
samundar kī machhlī na hañstī na phañstī
ki shīrīñ mahal khārā dar hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
baḌī ḳhūbiyāñ haiñ baḌe aadmī meñ
ġharīboñ kī kaTtī hai bechārgī meñ
adab bhī tijārat vafā bhī tijārat
tijārat kī dhun hai hañsī meñ ḳhushī meñ
salāmat rahe kār-ḳhāne kī chimanī
baḌā seTh māhir hai jādūgarī meñ
jeboñ ke aadam jiyūñ ke Thikāne
chamakte nazar ā.eñge raushnī meñ
hayā hoTaloñ meñ hai aape se bāhar
vafā ghar ke andar bhī hai bebasī meñ
qamīzoñ se baazū alag ho chuke haiñ
ġharāra bhī patlūn hai sādgī meñ
hasīnoñ ke chehre chamakte damakte
takalluf nahīñ husn kī aarsī meñ
ki ḳhush-posh hai ḳhush-nazar hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
amīroñ kā maskan ġharīboñ kā ghar hai
ra.īsoñ kā dānishvaroñ kā nagar hai
ġharīboñ ke ḳhūn-e-jigar kī badaulat
amīroñ kā sūkhā huā halq tar hai
ḳhudā.ī ke chakkar meñ aisā ghirā hai
ki banda ḳhudā se yahāñ be-ḳhabar hai
karachi kī saḌkeñ baḌī tañg-dil haiñ
ġharībo tumhārā ḳhudā rāhbar hai
yahāñ shaam bhī raat bhī din bhī raushan
gunāhoñ savāboñ kī kis ko ḳhabar hai
ki gulshan defence aur society meñ
baḌe log rahte haiñ al-muḳhtasar hai
magar ḳhuub se ḳhūb-tar hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
shahīdoñ kī mardān-e-ġhāzī kī jā hai
yahāñ apne qaa.id kā bhī maqbara hai
yahāñ miir bhī piir bhī ḳhvesh bhī haiñ
ki meman bhī ḳhūbe bhī darvesh bhī haiñ
hasīñ is nagar ke fusūñ-kār bhī haiñ
usūl-e-mohabbat ke ġhaddār bhī haiñ
farishtoñ kā rūhoñ kā maskan yahāñ hai
hamāre liye ye zamīñ āsmāñ hai
hasīnoñ kī nazroñ ke haqdār hote
agar ham yahāñ bar-sar-e-kār hote
chalo ham bhī māneñge is ke fusūñ ko
sambhāle agar ye hamāre junūñ ko
javāñ mah-jabīnoñ kā ghar hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
hamārā to hai jogiyoñ jaisā pherā
yahāñ aql ne Daal rakkhā hai Derā
na 'shā.ir' ne sochā na māhir ne dekhā
adab ko na.e digestoñ ne gherā
ra.iis apnī jhuggī meñ thoḌī jagah deñ
to ham bhī yahāñ kar sakeñge baserā
ḳhudā kī ḳhudā.ī meñ sab haiñ barābar
ye chhappar ye bañgla na terā na merā
jo baḳhshegā insāniyat ko ujālā
hamārī nigāhoñ meñ hai vo saverā
na.ī zindagī kī na.ī ḳhvāhishoñ ne
ġhamoñ ko sameTā ḳhushī ko bikherā
bahār-āfrīñ moḌ par hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
karachi mein dekhi hazaron ki hasti
qarar-afrin be-qararon ki basti
amiron ke bangle gharibon ke chhappar
bala ki bulandi qayamat ki pasti
sharifon ki aur shahryaron ki duniya
kahin rel-pel aur kahin tang-dasti
nikharta buDhapa machalti jawani
kahin but-gari hai kahin but-parasti
jawanon ke pahlu mein khilte hue dil
hasinon ki nazron se baada-parasti
KHiraman KHiraman clifton pe aa kar
samundar ki machhli na hansti na phansti
ki shirin mahal khaara dar hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi
baDi KHubiyan hain baDe aadmi mein
gharibon ki kaTti hai bechaargi mein
adab bhi tijarat wafa bhi tijarat
tijarat ki dhun hai hansi mein KHushi mein
salamat rahe kar-KHane ki chimani
baDa seTh mahir hai jadugari mein
jebon ke aadam jiyun ke Thikane
chamakte nazar aaenge raushni mein
haya hoTalon mein hai aape se bahar
wafa ghar ke andar bhi hai bebasi mein
qamizon se bazu alag ho chuke hain
gharara bhi patlun hai sadgi mein
hasinon ke chehre chamakte damakte
takalluf nahin husn ki aarsi mein
ki KHush-posh hai KHush-nazar hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi
amiron ka maskan gharibon ka ghar hai
raison ka danishwaron ka nagar hai
gharibon ke KHun-e-jigar ki badaulat
amiron ka sukha hua halq tar hai
KHudai ke chakkar mein aisa ghira hai
ki banda KHuda se yahan be-KHabar hai
karachi ki saDken baDi tang-dil hain
gharibo tumhaara KHuda rahbar hai
yahan sham bhi raat bhi din bhi raushan
gunahon sawabon ki kis ko KHabar hai
ki gulshan defence aur society mein
baDe log rahte hain al-muKHtasar hai
magar KHub se KHub-tar hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi
shahidon ki mardan-e-ghazi ki ja hai
yahan apne qaid ka bhi maqbara hai
yahan mir bhi pir bhi KHwesh bhi hain
ki meman bhi KHube bhi darwesh bhi hain
hasin is nagar ke fusun-kar bhi hain
usul-e-mohabbat ke ghaddar bhi hain
farishton ka ruhon ka maskan yahan hai
hamare liye ye zamin aasman hai
hasinon ki nazron ke haqdar hote
agar hum yahan bar-sar-e-kar hote
chalo hum bhi manenge is ke fusun ko
sambhaale agar ye hamare junun ko
jawan mah-jabinon ka ghar hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi
hamara to hai jogiyon jaisa phera
yahan aql ne Dal rakkha hai Dera
na 'shair' ne socha na mahir ne dekha
adab ko nae digeston ne ghera
rais apni jhuggi mein thoDi jagah den
to hum bhi yahan kar sakenge basera
KHuda ki KHudai mein sab hain barabar
ye chhappar ye bangla na tera na mera
jo baKHshega insaniyat ko ujala
hamari nigahon mein hai wo sawera
nai zindagi ki nai KHwahishon ne
ghamon ko sameTa KHushi ko bikhera
bahaar-afrin moD par hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.