karachi ke mushaere mein Daka
Interesting Fact
(KHabar aa.ii hai ki karachi me.n Daaku.o.n ne ek mushaa.ere me.n Daaka Daalaa aur shaa.ero.n ko luuT liyaa)
ye kis ne bazm-e-adab ke sukūn ko taakā
mushā.eron meñ bhī paḌne lagā hai ab Daaka
mushā.ere meñ Dakaitī kā shauq rakhte haiñ
hamāre ahd ke Daaku bhī zauq rakhte haiñ
adab-navāz the Daaku suḳhan-shanās the vo
mire vatan kī siyāsat kā iqtibās the vo
ajab Dakait the jin kā nasīb phūTā thā
jinhoñ ne shahr ke in muflisoñ ko luuTā thā
paḌā vo ran ki ik ustād sher bhuul gayā
kisī nahīf se shā.er kā saañs phuul gayā
bayāz apnī kisī ne uchhāl kar rakh dī
bajā.e cash rubā.ī nikāl kar rakh dī
udhar Dakait sambhāle the gun uḌaa.ī huī
udhar vo pel rahā thā ġhazal churā.ī huī
ye kis ne bazm-e-suḳhan luuT lī ḳhudā jaane
''tamām shahr ne pahne hue haiñ dastāne''
mushā.ere meñ na sonā thā aur na chāñdī thī
suḳhan-varoñ kī to har chiiz hī purānī hai
jo sab se qīmtī shai hai vo shervānī hai
ye apne sher sunāte hī phuuT lete haiñ
mushā.ere ko tarannum se luuT lete haiñ
hamāre sher suneñ aur sher-bīñ ho jaa.eñ
ḳhudā kare ki ye Daaku bhī sāma.īñ ho jaa.eñ
ye kis ne bazm-e-adab ke sukun ko taka
mushaeron mein bhi paDne laga hai ab Daka
mushaere mein Dakaiti ka shauq rakhte hain
hamare ahd ke Daku bhi zauq rakhte hain
adab-nawaz the Daku suKHan-shanas the wo
mere watan ki siyasat ka iqtibas the wo
ajab Dakait the jin ka nasib phuTa tha
jinhon ne shahr ke in muflison ko luTa tha
paDa wo ran ki ek ustad sher bhul gaya
kisi nahif se shaer ka sans phul gaya
bayaz apni kisi ne uchhaal kar rakh di
bajae cash rubai nikal kar rakh di
udhar Dakait sambhaale the gun uDai hui
udhar wo pel raha tha ghazal churai hui
ye kis ne bazm-e-suKHan luT li KHuda jaane
tamam shahr ne pahne hue hain dastane
mushaere mein na sona tha aur na chandi thi
suKHan-waron ki to har chiz hi purani hai
jo sab se qimti shai hai wo sherwani hai
ye apne sher sunate hi phuT lete hain
mushaere ko tarannum se luT lete hain
hamare sher sunen aur sher-bin ho jaen
KHuda kare ki ye Daku bhi samain ho jaen
- Book : No Problem (Pg. 59)
- Publication : nayyar jehan urdu markaz international(los Angeles)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.