karb-e-tanhai
maiñ huuñ
vīrāne meñ
ek shajar tanhā
mujh pe chhāyā rahtā hai ek muhīb sannāTā
jaane kab tak
in sannāToñ kā saath rahegā
dil meñ jaage hai bas yahī armāñ
kaash chiḌiyā koī aa.e
mujh pe baiThe phudke gaa.e
ḳhuub chahchahā.e
joḌ ke tinke
bāhoñ par mirī ḳhuub manā.e rain baserā
janm de bhole-bhāle bachchoñ ko
shāḳhoñ se phal toḌe khaa.e khilā.e bachchoñ ko
baiThe phudke gaa.e
ḳhuub chahchahā.e
kaash chiḌiyā koī aa.e
main hun
virane mein
ek shajar tanha
mujh pe chhaya rahta hai ek muhib sannaTa
jaane kab tak
in sannaTon ka sath rahega
dil mein jage hai bas yahi arman
kash chiDiya koi aae
mujh pe baiThe phudke gae
KHub chahchahae
joD ke tinke
bahon par meri KHub manae rain basera
janm de bhole-bhaale bachchon ko
shaKHon se phal toDe khae khilae bachchon ko
baiThe phudke gae
KHub chahchahae
kash chiDiya koi aae
- Book : Izhaar ki faslain (Pg. 98)
- Author : wali madani
- Publication : Maktaba-e-sadaf (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.