karb
roz jab sub.h ko
apne ghar se nikaltā huuñ maiñ
rāste meñ koī dost mil jaa.e
yā jān-pahchān vaalā
maiñ baḌī garm-joshī se us kī taraf
baḌh ke jaatā huuñ
ādāb kartā huuñ
aur muskurātā bhī huuñ
(jaise maiñ aaj ke din
aur ghar pe sab ḳhairiyat hai)
mujh ko har har qadam par
ka.ī tarah ke log milte haiñ
jo ūñchī dukānoñ pe baiThe hue haiñ
ka.ī aise afrād
maiñ jāntā huuñ vo kitne ġhabī haiñ
magar kursiyoñ par DaTe haiñ
unheñ log
jhuk jhuk ke taslīm karte haiñ
(vo log
jo un se behtar haiñ
tahzīb-o-shā.istagī meñ
dānish-o-āgahī meñ
magar is ko kyā kiije
un kī qismat meñ
vo ḳhaas kursī nahīñ hai
ki jis par koī masḳhara baiTh jaa.e
to us ko koī masḳhara kah na paa.e
maiñ ye mahsūs kartā huuñ
ḳhud mere andar
koī baiThā huā
kah rahā hai:
jī meñ aatī hai
in masḳharoñ par hañsūñ
khokhle aadmī jo bhī haiñ
un se kah duuñ
ki tum khokhle ho
apnī kursī pe baiThā huā
koī ahmaq
uuñT kī tarah se bilbilā.e
to kah duuñ
ki kyā bak rahe ho?
roz jab subh ko
apne ghar se nikalta hun main
raste mein koi dost mil jae
ya jaan-pahchan wala
main baDi garm-joshi se us ki taraf
baDh ke jata hun
aadab karta hun
aur muskuraata bhi hun
(jaise main aaj ke din
aur ghar pe sab KHairiyat hai)
mujh ko har har qadam par
kai tarah ke log milte hain
jo unchi dukanon pe baiThe hue hain
kai aise afrad
main jaanta hun wo kitne ghabi hain
magar kursiyon par DaTe hain
unhen log
jhuk jhuk ke taslim karte hain
(wo log
jo un se behtar hain
tahzib-o-shaistagi mein
danish-o-agahi mein
magar is ko kya kije
un ki qismat mein
wo KHas kursi nahin hai
ki jis par koi masKHara baiTh jae
to us ko koi masKHara kah na pae
main ye mahsus karta hun
KHud mere andar
koi baiTha hua
kah raha hai:
ji mein aati hai
in masKHaron par hansun
khokhle aadmi jo bhi hain
un se kah dun
ki tum khokhle ho
apni kursi pe baiTha hua
koi ahmaq
unT ki tarah se bilbilae
to kah dun
ki kya bak rahe ho?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.