karbala
laboñ pe alfāz haiñ ki pyāsoñ kā qāfila hai
namī hai ye yā furāt ā.ankhoñ se bah rahī hai
hayāt ā.ankhoñ se bah rahī hai
sipāh-e-fisq-o-fujūr yalġhār kar rahī hai
diloñ ko mismār kar rahī hai
lahū lahū haiñ hamārī socheñ
barahna-sar hai hayā tamannā.eñ baal nocheñ
vafā ke baazū kaTe hue haiñ
halākatoñ ke ġhubār se zindagī ke maidāñ paTe hue haiñ
dhuāñ har ik ḳhema-e-sadā se nikal rahā hai
har ek andar se jal rahā hai
riyā ke nezoñ pe aaj sachchā.iyoñ ke sar haiñ
yazīdiyat ke usuul apne uruuj par haiñ
baḌī hī zālim hai haq-pasandī ko chain lene na de ye duniyā
hameñ to kuufa lage ye duniyā
qadam qadam āzmā.ishoñ kī fazā milī hai
hameñ to har daur meñ na.ī karbalā milī hai
labon pe alfaz hain ki pyason ka qafila hai
nami hai ye ya furaat aaankhon se bah rahi hai
hayat aaankhon se bah rahi hai
sipah-e-fisq-o-fujur yalghaar kar rahi hai
dilon ko mismar kar rahi hai
lahu lahu hain hamari sochen
barahna-sar hai haya tamannaen baal nochen
wafa ke bazu kaTe hue hain
halakaton ke ghubar se zindagi ke maidan paTe hue hain
dhuan har ek KHema-e-sada se nikal raha hai
har ek andar se jal raha hai
riya ke nezon pe aaj sachchaiyon ke sar hain
yazidiyat ke usul apne uruj par hain
baDi hi zalim hai haq-pasandi ko chain lene na de ye duniya
hamein to kufa lage ye duniya
qadam qadam aazmaishon ki faza mili hai
hamein to har daur mein nai karbala mili hai
- Book : Kalam-e- muzaffar warsi (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.