karl marx
marx ke ilm o fatānat kā nahīñ koī javāb
kaun us ke dark se hotā nahīñ hai faiz-yāb
us kī dānā.ī kā hāsil nāḳhūn-e-uqda-kushā
tābnāki-e-zamīr-o-zīrakī kā āftāb
chāhne vāloñ kā us kī zikr hī kyā kījiye
us ke dushman bhī sirhāne rakhte haiñ us kī kitāb
māddī tārīḳh-e-ālam jis kī tālīf-e-azīm
taas kaipiTāl hai yā ziist kā lubb-e-lubāb
paḌh ke jis ke ho ga.iiñ hushyār aqvām-e-ġhulām
ishtirākī falsafa kā khul gayā har dil meñ baab
kitne dozaḳh us ke ik manshūr se jannat bane
kitne sahrāoñ ko jis ne kar diyā shahr-e-gulāb
marx ne science o insāñ ko kiyā hai ham-kanār
zehn ko baḳhshā shu.ūr-e-zindagānī kā nisāb
us kī bīnish us kī vajdānī-nigāh-e-haq-shanās
kar ga.ī jo chehra-e-iflās-e-zar ko be-naqāb
'ġhasab-e-ujrat' ko diyā 'sarmāyā' kā jis ne laqab
be-hisāb us kī basīrat us kī mantiq lā-javāb
āftāb taaza kī us ne bashārat dī hameñ
us kī har peshan-goī hai barafganda naqāb
koī quvvat us kī sadd-e-rāh ban saktī nahīñ
vaqt kā farmān jab aatā hai ban kar inqilāb
ahl-e-dānish kā rajaz aur sīna-e-dahqāñ kī Dhaal
lashkar mazdūr ke haiñ ham-safīr o ham-rikāb
kāTtī hai sehr-e-sultānī ko jab muusā kī zarb
satvat-e-firaun ho jaatī hai az ḳhud ġharq-e-āb
aaj kī fir.auniyat bhī kuchh isī andāz se
rafta rafta hotī jā.egī shikār-e-inqilāb
laḌ rahā hai jañg āḳhir kīsa-e-sarmāya-dār
jauhrī hathiyār se kartā nahīñ jo ijtināb
apne mustaqbil se tāġhūtī tamaddun ko hai yaas
dīdanī hai dushman-e-insāniyat kā iztirāb
hazrat-e-iqbāl kā iblīs-e-kochak ḳhauf se
larza-bar-andām yuuñ shaitāñ se kartā hai ḳhitāb
panDit o mullā o rāhib be-zarar Thahre magar
TūTne vaalā hai tujh par ik yahūdī kā itaab
vo kalīm-e-be-tajallī vo masīh-e-be-salīb
niist paiġhambar o lekin dar baġhal dārad kitāb
marx ke ilm o fatanat ka nahin koi jawab
kaun us ke dark se hota nahin hai faiz-yab
us ki danai ka hasil naKHun-e-uqda-kusha
tabnaki-e-zamir-o-ziraki ka aaftab
chahne walon ka us ki zikr hi kya kijiye
us ke dushman bhi sirhane rakhte hain us ki kitab
maddi tariKH-e-alam jis ki talif-e-azim
tas kaipiTal hai ya zist ka lubb-e-lubab
paDh ke jis ke ho gain hushyar aqwam-e-ghulam
ishtiraki falsafa ka khul gaya har dil mein bab
kitne dozaKH us ke ek manshur se jannat bane
kitne sahraon ko jis ne kar diya shahr-e-gulab
marx ne science o insan ko kiya hai ham-kanar
zehn ko baKHsha shuur-e-zindagani ka nisab
us ki binish us ki wajdani-nigah-e-haq-shanas
kar gai jo chehra-e-iflas-e-zar ko be-naqab
'ghasab-e-ujrat' ko diya 'sarmaya' ka jis ne laqab
be-hisab us ki basirat us ki mantiq la-jawab
aaftab taza ki us ne bashaarat di hamein
us ki har peshan-goi hai barafganda naqab
koi quwwat us ki sadd-e-rah ban sakti nahin
waqt ka farman jab aata hai ban kar inqilab
ahl-e-danish ka rajaz aur sina-e-dahqan ki Dhaal
lashkar mazdur ke hain ham-safir o ham-rikab
kaTti hai sehr-e-sultani ko jab musa ki zarb
satwat-e-firaun ho jati hai az KHud gharq-e-ab
aaj ki firauniyat bhi kuchh isi andaz se
rafta rafta hoti jaegi shikar-e-inqilab
laD raha hai jang aaKHir kisa-e-sarmaya-dar
jauhri hathiyar se karta nahin jo ijtinab
apne mustaqbil se taghuti tamaddun ko hai yas
didani hai dushman-e-insaniyat ka iztirab
hazrat-e-iqbaal ka iblis-e-kochak KHauf se
larza-bar-andam yun shaitan se karta hai KHitab
panDit o mulla o rahib be-zarar Thahre magar
TuTne wala hai tujh par ek yahudi ka itab
wo kalim-e-be-tajalli wo masih-e-be-salib
nist paighambar o lekin dar baghal darad kitab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.