karoge yaad to har baat yaad aaegi
karoge yaad to har baat yaad aa.egī
guzarte vaqt kī har mauj Thahar jā.egī
ye chāñd biite zamānoñ kā aa.ina hogā
bhaTakte abr meñ chehra koī banā hogā
udaas rah hai koī dāstāñ sunā.egī
karoge yaad to har baat yaad aa.egī
barastā bhīgtā mausam dhuāñ dhuāñ hogā
pighaltī sham.a pe chehra koī gumāñ hogā
hatheliyoñ kī hinā yaad kuchh dilā.egī
karoge yaad to har baat yaad aa.egī
galī ke moḌ pe suunā sā koī darvāza
tarastī aañkh meñ rasta kisī kā dekhegā
nigāh duur talak jā ke lauT aa.egī
karoge yaad to har baat yaad aa.egī
karoge yaad to har baat yaad aaegi
guzarte waqt ki har mauj Thahar jaegi
ye chand bite zamanon ka aaina hoga
bhaTakte abr mein chehra koi bana hoga
udas rah hai koi dastan sunaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi
barasta bhigta mausam dhuan dhuan hoga
pighalti shama pe chehra koi guman hoga
hatheliyon ki hina yaad kuchh dilaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi
gali ke moD pe suna sa koi darwaza
tarasti aankh mein rasta kisi ka dekhega
nigah dur talak ja ke lauT aaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.