kashmakash
zindagī aaj bhī ik mas.ala hai
na taḳhayyul
na haqīqat
na fareb-e-rañgīñ
giit qurbān kiye
shola-e-dil nazr
naġhma-e-ḳhvāb diye
phir bhī ye mas.ala
giit mausam kā
hasīñ jism kā
ḳhvāboñ kā jise
maiñ ne aur mere ham-asroñ ne gaayā thā use
zindagī suntī nahīñ
sun ke bhī hañs detī hai
aag
jazbāt kī aag
dil-nashīñ
shabnamīñ
ma.asūm ḳhayālāt kī aag
apne qasbe kī kisī dard bharī raat kī aag
zindagī aaj bhī har aag pe hañs detī hai
kaun jaane ki mirī tarah ho marġhūb ise
dard-e-dil nashsha-e-mai
zindagī aaj bhī ik mas.ala hai
aur ise hal honā hai
maiñ agar naza.a meñ huuñ
hal to ise honā hai
dil ye kahtā hai ki le jaa.e jahāñ raat chalo
aur science ye kahtī hai, mire saath chalo
zindagi aaj bhi ek masala hai
na taKHayyul
na haqiqat
na fareb-e-rangin
git qurban kiye
shola-e-dil nazr
naghma-e-KHwab diye
phir bhi ye masala
git mausam ka
hasin jism ka
KHwabon ka jise
main ne aur mere ham-asron ne gaya tha use
zindagi sunti nahin
sun ke bhi hans deti hai
aag
jazbaat ki aag
dil-nashin
shabnamin
masum KHayalat ki aag
apne qasbe ki kisi dard bhari raat ki aag
zindagi aaj bhi har aag pe hans deti hai
kaun jaane ki meri tarah ho marghub ise
dard-e-dil nashsha-e-mai
zindagi aaj bhi ek masala hai
aur ise hal hona hai
main agar naza mein hun
hal to ise hona hai
dil ye kahta hai ki le jae jahan raat chalo
aur science ye kahti hai, mere sath chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.