Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashmakash

Naresh Kumar Shad

kashmakash

Naresh Kumar Shad

MORE BYNaresh Kumar Shad

    sochte sochte phir mujh ko ḳhayāl aatā hai

    vo mire rañj-o-masā.ib mudāvā to na thī

    rañg-afshāñ thī mire dil ḳhalāoñ meñ magar

    ek aurat thī ilāj-e-ġham duniyā to na thī

    mere idrāk ke nāsūr to riste rahte

    merī ho kar bhī vo mere liye kyā kar letī

    hasrat-o-yās ke gambhīr añdhere meñ bhalā

    ek nāzuk kiran saath kahāñ tak detī

    us ko rahnā thā zar-o-sīm ke aivānoñ meñ

    rah bhī jaatī vo mire saath to rahtī kab tak

    ek maġhrūr sahūkār pyārī beTī

    bhuuk aur pyaas taklīf ko sahtī kab tak

    ek shā.er tamannāoñ ko dhokā de kar

    us ne toḌī hai agar pyaar bhare giit lai

    is pe afsos hai kyuuñ is pe ta.ajjub kaisā

    ye mohabbat bhī to ehsās ik dhokā hai

    phir bhī anjāne meñ jab shahr rāhoñ meñ kahīñ

    dekh letā huuñ maiñ doshīza jamāloñ ke hujūm

    ruuh par phailne lagtā hai udāsī ġhubār

    zehn meñ reñgne lagte haiñ ḳhayāloñ ke hujūm

    sochte sochte phir mujh ko ḳhayāl aatā hai

    vo mire rañj-o-masā.ib mudāvā to na thī

    rañg-afshāñ thī mire dil ḳhalāoñ meñ magar

    ek aurat thī ilāj-e-ġham-e-duniyā to na thī

    sochte sochte phir mujh ko KHayal aata hai

    wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi

    rang-afshan thi mere dil ki KHalaon mein magar

    ek aurat thi ilaj-e-gham duniya to na thi

    mere idrak ke nasur to riste rahte

    meri ho kar bhi wo mere liye kya kar leti

    hasrat-o-yas ke gambhir andhere mein bhala

    ek nazuk si kiran sath kahan tak deti

    us ko rahna tha zar-o-sim ke aiwanon mein

    rah bhi jati wo mere sath to rahti kab tak

    ek maghrur sahukar ki pyari beTi

    bhuk aur pyas ki taklif ko sahti kab tak

    ek shaer ki tamannaon ko dhoka de kar

    us ne toDi hai agar pyar bhare git ki lai

    is pe afsos hai kyun is pe tajjub kaisa

    ye mohabbat bhi to ehsas ka ek dhoka hai

    phir bhi anjaane mein jab shahr ki rahon mein kahin

    dekh leta hun main doshiza jamalon ke hujum

    ruh par phailne lagta hai udasi ka ghubar

    zehn mein rengne lagte hain KHayalon ke hujum

    sochte sochte phir mujh ko KHayal aata hai

    wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi

    rang-afshan thi mere dil ki KHalaon mein magar

    ek aurat thi ilaj-e-gham-e-duniya to na thi

    Source :
    • Book : Sangam (Pg. 35)
    • Author : Naresh Kumar Shad
    • Publication : New Taj Office,Delhi (1960)
    • Edition : 1960

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now