kashmir
āmājgah-e-nūr hai kohsār-e-himāla
hai ġhairat-e-sad-tūr ye bhārat kā shivāla
kohsār nahīñ tāj-e-vatan amn kā haala
sahbā-e-mohabbat kā chhalaktā huā pyāla
kashmīr himāla kā dhaḌaktā huā dil hai
is vaadī kā har phuul mahaktā huā dil hai
is vaadī kī tārīḳh uḳhuvvat kā fasāna
is vaadī kā har naġhma mohabbat kā tarāna
is vaadī kā har zarra ma.ānī kā ḳhazāna
is vaadī kī tahzīb ne dekhā hai zamāna
ye vādī-e-gul aaj bhī gulzār-e-iram hai
is vaadī kā har phuul bahāroñ kā sanam hai
aamajgah-e-nur hai kohsar-e-himala
hai ghairat-e-sad-tur ye bhaarat ka shiwala
kohsar nahin taj-e-watan amn ka haala
sahba-e-mohabbat ka chhalakta hua pyala
kashmir himala ka dhaDakta hua dil hai
is wadi ka har phul mahakta hua dil hai
is wadi ki tariKH uKHuwwat ka fasana
is wadi ka har naghma mohabbat ka tarana
is wadi ka har zarra maani ka KHazana
is wadi ki tahzib ne dekha hai zamana
ye wadi-e-gul aaj bhi gulzar-e-iram hai
is wadi ka har phul bahaaron ka sanam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.