Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashmir

Akhtar Shirani

kashmir

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    jannat goyā

    tasvīr dekho

    tasvīr kaisī

    kashmīr dekho

    kashmīr dekho

    dilkash nazāre

    kashmīr ke haiñ

    kul siin pyāre

    kashmīr ke haiñ

    kashmīr dekho

    shaffāf nahreñ

    bal khāne vaalī

    kaalī ghaTā.eñ

    lahrāne vaalī

    kashmīr dekho

    haiñ baaġh is ke

    shādāb kaise

    aur phuul phal haiñ

    nāyāb kaise

    kashmīr dekho

    baaġh aur banoñ par

    chhā.e haiñ bādal

    ghir ghir ke kaise

    aa.e haiñ bādal

    kashmīr dekho

    ye sarzamīñ bhī

    kitnī hasīñ hai

    kashmīr kyā hai

    ḳhuld-e-barīñ hai

    kashmīr dekho

    jannat TukḌā

    sab kiyāriyāñ haiñ

    kyā ḳhūbsūrat

    phul-vāriyāñ haiñ

    kashmīr dekho

    saare jahāñ

    zīnat hai kashmīr

    hindostāñ

    jannat hai kashmīr dekho

    kashmīr dekho

    jannat ki goya

    taswir dekho

    taswir kaisi

    kashmir dekho

    kashmir dekho

    dilkash nazare

    kashmir ke hain

    kul sin pyare

    kashmir ke hain

    kashmir dekho

    shaffaf nahren

    bal khane wali

    kali ghaTaen

    lahrane wali

    kashmir dekho

    hain bagh is ke

    shadab kaise

    aur phul phal hain

    nayab kaise

    kashmir dekho

    bagh aur banon par

    chhae hain baadal

    ghir ghir ke kaise

    aae hain baadal

    kashmir dekho

    ye sarzamin bhi

    kitni hasin hai

    kashmir kya hai

    KHuld-e-barin hai

    kashmir dekho

    jannat ka TukDa

    sab kiyariyan hain

    kya KHubsurat

    phul-wariyan hain

    kashmir dekho

    sare jahan ki

    zinat hai kashmir

    hindostan ki

    jannat hai kashmir dekho

    kashmir dekho

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now