kashmir
surḳh phūloñ se lahū phuuT rahā hai shāyad
aaj jannat meñ jahannum ke nazāre dekho
aaj mazdūr ke māthe kā pasīna ban kar
āsmānoñ se bhī TūTeñge sitāre dekho
aaj mahkūm nigāhoñ ko jalāl aayā hai
raakh kī god meñ palte haiñ sharāre dekho
aaj aivān-e-hukūmat ke sutūñ kaañp uThe
kis tarah muḌ ga.e ye ḳhuun ke dhāre dekho
jabr aur zulm kī tārīḳh badal jā.egī
aaj badlī huī duniyā ke ishāre dekho
aaj āñkhoñ se nayā giit sunāte jaao
ḳhuun se vaqt kī ye aag bujhāte jaao
surKH phulon se lahu phuT raha hai shayad
aaj jannat mein jahannum ke nazare dekho
aaj mazdur ke mathe ka pasina ban kar
aasmanon se bhi TuTenge sitare dekho
aaj mahkum nigahon ko jalal aaya hai
rakh ki god mein palte hain sharare dekho
aaj aiwan-e-hukumat ke sutun kanp uThe
kis tarah muD gae ye KHun ke dhaare dekho
jabr aur zulm ki tariKH badal jaegi
aaj badli hui duniya ke ishaare dekho
aaj aankhon se naya git sunate jao
KHun se waqt ki ye aag bujhate jao
- Book : Aina Khane (Pg. 111)
- Author : Akhtar payami
- Publication : Zain Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.