kashti
yaqīn maano
ki merī āñkhoñ ke ḳhushk tannūr se
vo chashma ubalne vaalā hai
jis kā paanī
bahā ke le jā.egā ye sab kuchh
zarā bhī ḳhushkī kahīñ na hogī
ki jis pe koī qadam jamā le
kahīñ bhī jā-e-amāñ na hogī
jahāñ pe chhup jaa.e koī aur jaan baḳhshvā le
to sab ye e’’lān-e-ām sun leñ
vo sab jo us vaqt mujh pe hañste the
jab maiñ yādoñ ke joḌoñ ko jam' kar rahā thā
vo sab suneñ
ki zindagī bas rahegī us kī
jo merī kashtī meñ saath hogā
ki maiñ
jo ḳhvāboñ kī ek kashtī banā rahā thā
vo aaj tayyār ho ga.ī hai
yaqin mano
ki meri aankhon ke KHushk tannur se
wo chashma ubalne wala hai
jis ka pani
baha ke le jaega ye sab kuchh
zara bhi KHushki kahin na hogi
ki jis pe koi qadam jama le
kahin bhi ja-e-aman na hogi
jahan pe chhup jae koi aur jaan baKHshwa le
to sab ye e’’lan-e-am sun len
wo sab jo us waqt mujh pe hanste the
jab main yaadon ke joDon ko jam' kar raha tha
wo sab sunen
ki zindagi bas rahegi us ki
jo meri kashti mein sath hoga
ki main
jo KHwabon ki ek kashti bana raha tha
wo aaj tayyar ho gai hai
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 130)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.