kasrat-e-aulad
suniye ik nā-āqibat-andesh kī fariyād hai
kah rahā hai vo mujhe apnī javānī yaad hai
maiñ jise kahtā thā ghar vo aaj tifl-ābād hai
merī tanhā jaan hai aur kasrat-e-aulād hai
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
vo bhī kyā din the ki jab ye muflisī chhā.ī na thī
''āshiqī qaid-e-sharī.at meñ'' abhī aa.ī na thī
kis qadar the mutma.in go jeb meñ paa.ī na thī
kasrat-e-aulād ke baa.is ye rusvā.ī na thī
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
kyā ḳhatā merī ki jo bachcha huā juḌvāñ huā
aur ma.a ham-zād aajiz hī ke ghar mehmāñ huā
mere ghar aayā to goyā dāḳhil-e-zindāñ huā
mulk meñ ġhalle kī qillat kā nayā unvāñ huā
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
ho ga.e haiñ ek darjan aaj tak laḳht-e-jigar
ek in meñ referē gyārah khilāḌī haiñ magar
is khilāḌī team meñ fōtbāl hai in kā pidar
us ko dauḌāte haiñ ye bachche idhar gaahe udhar
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
jā ke pahle ke liye moTī sifārish lā.ūñgā
mauqa.a-be-mauqa.a a.izza ko bahut dauḌā.ūñgā
apne saare dostoñ kī jaan ko aa jā.ūñgā
aur kisī daftar meñ us ko naukrī dilvā.ūñgā
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
dūsrā bīmār hai lā.ūñgā maiñ us kī davā
DhūñDhtā huuñ tīsare ke dāḳhle ko madrasa
jā ke chauthe ne jo ham-sā.e se jhagḌā kar liyā
is ko nekī de ḳhudā se kar rahā huuñ ye duā
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
pāñchvāñ hai aur chhaTā hai aur patañgeñ aur Dor
sātvāñ hai, āTHvāñ hai aur navāñ karte haiñ zor
koī bachcha chīḳhtā hai aur koī kartā hai shor
kyūñki ye ik dūsre ko chheḌ kar karte haiñ bor
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
haiñ jo dasvīñ, gyārahvīñ, donoñ haiñ kandhoñ par savār
ye dilā do vo dilā do kah rahe haiñ baar baar
bārahvāñ bachcha jo hai vo kar rahā hai maañ ko ḳhvār
raat bhar rotā hai us kī god meñ vo nā-bakār
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
ghar meñ motor bhī barā.e-bār-bardārī nahīñ
saath le jaane meñ bachchoñ ke ba-juz-ḳhvārī nahīñ
ek bachcha god meñ le luuñ ki vo bhārī nahīñ
vo magar darjan haiñ maiñ insān huuñ laarī nahīñ
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
baat sach ye hai ki ham the jis zamāne meñ javāñ
ḳhāndānī qasam kī mansūba-bandī thī kahāñ
aur ashyā-e-zarūrī bhī na thiiñ itnī girāñ
aaj maiñ huuñ aur merī muflisī kī dāstāñ
''ai ġham-e-dil kyā karūñ, ai vahshat-e-dil kyā karūñ''
suniye ek na-aqibat-andesh ki fariyaad hai
kah raha hai wo mujhe apni jawani yaad hai
main jise kahta tha ghar wo aaj tifl-abaad hai
meri tanha jaan hai aur kasrat-e-aulad hai
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
wo bhi kya din the ki jab ye muflisi chhai na thi
aashiqi qaid-e-shariat mein abhi aai na thi
kis qadar the mutmain go jeb mein pai na thi
kasrat-e-aulad ke bais ye ruswai na thi
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
kya KHata meri ki jo bachcha hua juDwan hua
aur ma ham-zad aajiz hi ke ghar mehman hua
mere ghar aaya to goya daKHil-e-zindan hua
mulk mein ghalle ki qillat ka naya unwan hua
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
ho gae hain ek darjan aaj tak laKHt-e-jigar
ek in mein referee gyarah khilaDi hain magar
is khilaDi team mein footbaal hai in ka pidar
us ko dauDate hain ye bachche idhar gahe udhar
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
ja ke pahle ke liye moTi sifarish launga
mauqa-be-mauqa aizza ko bahut dauDaunga
apne sare doston ki jaan ko aa jaunga
aur kisi daftar mein us ko naukri dilwaunga
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
dusra bimar hai launga main us ki dawa
DhunDhta hun tisare ke daKHle ko madrasa
ja ke chauthe ne jo ham-sae se jhagDa kar liya
is ko neki de KHuda se kar raha hun ye dua
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
panchwan hai aur chhaTa hai aur patangen aur Dor
satwan hai, aaTHwan hai aur nawan karte hain zor
koi bachcha chiKHta hai aur koi karta hai shor
kyunki ye ek dusre ko chheD kar karte hain bor
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
hain jo daswin, gyarahwin, donon hain kandhon par sawar
ye dila do wo dila do kah rahe hain bar bar
barahwan bachcha jo hai wo kar raha hai man ko KHwar
raat bhar rota hai us ki god mein wo na-bakar
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
ghar mein motor bhi barae-bar-bardari nahin
sath le jaane mein bachchon ke ba-juz-KHwari nahin
ek bachcha god mein le lun ki wo bhaari nahin
wo magar darjan hain main insan hun lari nahin
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
baat sach ye hai ki hum the jis zamane mein jawan
KHandani qasam ki mansuba-bandi thi kahan
aur ashya-e-zaruri bhi na thin itni giran
aaj main hun aur meri muflisi ki dastan
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 41)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.