katba(2)
ye us shaḳhs kī qabr hai
jis ke ab jism kā koī zarra yahāñ par nahīñ hai
na us ko koī kaam is qabr se
na us ko ḳhabar hai
ki ye kis kā ghar hai
to us shaḳhs ke ek be-nām ghar ko
koī kyuuñ kisī naam se aaj mansūb kar de
aur us naam kā ek katba banā.e
ye duniyā hai jis meñ na aisā koī ghar banā hai na aage banegā
ki us kā makīñ apne ghar meñ hamesha rahegā
to ab kyā koī ghar?
aur us ghar pe ik naam kanda
ki jis marhale par kisī ko kisī ghar kī koī zarūrat nahīñ hai
ye us shaKHs ki qabr hai
jis ke ab jism ka koi zarra yahan par nahin hai
na us ko koi kaam is qabr se
na us ko KHabar hai
ki ye kis ka ghar hai
to us shaKHs ke ek be-nam ghar ko
koi kyun kisi nam se aaj mansub kar de
aur us nam ka ek katba banae
ye duniya hai jis mein na aisa koi ghar bana hai na aage banega
ki us ka makin apne ghar mein hamesha rahega
to ab kya koi ghar?
aur us ghar pe ek nam kanda
ki jis marhale par kisi ko kisi ghar ki koi zarurat nahin hai
- Book : Zindagi Ae Zindagi (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.