katba(5)
ye katba fulāñ san kā hai
ye san is liye is par kanda kiyā
ki sab vārisoñ par ye vāzeh rahe
ki is roz barsī hai marhūm kī
azīz-o-aqārib yatāmā masākīn ko
ziyāfat se apnī navāzeñ sabhī ko bulā.eñ
ki sab mil ke marhūm ke haq meñ dast-e-duā ko uThā.eñ
zabāñ se kaheñ apnī ''marhūm kī maġhfirat ho''
buzurg-e-muqaddas ke nām-e-muqaddas pe bhejeñ darūd-o-salām
sabhī ḳhaas o aam
magar ye bhī malhūz-e-ḳhātir rahe
azīz-o-aqārib kā shurb o ta.aam
aur us kā nizām
alag ho vahāñ se
jahāñ hoñ yatāmā masākīn andhe bhikārī
phaTe aur maile libāsoñ meñ sab aurteñ aur bachche
ka.ī luule lañgḌe marīz aur gande
vahī jin ko kahte haiñ ham sab avaam
vahāñ hogā ik shor-o-ġhul izhdihām
ye kar deñge ham sab kā jiinā harām
ye katba fulan san ka hai
ye san is liye is par kanda kiya
ki sab warison par ye wazeh rahe
ki is roz barsi hai marhum ki
aziz-o-aqarib yatama masakin ko
ziyafat se apni nawazen sabhi ko bulaen
ki sab mil ke marhum ke haq mein dast-e-dua ko uThaen
zaban se kahen apni marhum ki maghfirat ho
buzurg-e-muqaddas ke nam-e-muqaddas pe bhejen darud-o-salam
sabhi KHas o aam
magar ye bhi malhuz-e-KHatir rahe
aziz-o-aqarib ka shurb o taam
aur us ka nizam
alag ho wahan se
jahan hon yatama masakin andhe bhikari
phaTe aur maile libason mein sab aurten aur bachche
kai lule langDe mariz aur gande
wahi jin ko kahte hain hum sab awam
wahan hoga ek shor-o-ghul izhdiham
ye kar denge hum sab ka jina haram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.