kaTh-putli ne holi kheli
kaTh-putlī ne holī khelī
aur kanchoñ se golī khelī
pichkārī se rañg uḌāyā
sab ko us ne bhuut banāyā
tānDau naach jo unheñ nachvāyā
nasha ḳhushī kā sab par chhāyā
pūrab dekho pachchhim dekho
utar dekho dakhkhin dekho
ghabrāhaT meñ chalte jaao
lauTte aur palaTte jaao
aao aao jaao jaao
khaao piyo aur mauj manāo
rañgoñ se bāzār bharo
mahloñ kī dīvār rañgo
darvāze rañgīn karo
do ko toḌo tiin karo
kaTh-putlī ne holī khelī
kanchoñ se hai golī khelī
bachche us ke sañg rahe
aapas meñ kyuuñ jañg rahe
sach kā bol jo baalā ho
bhutnoñ kā muñh kaalā ho
kaTh-putlī gulnār banī
rañgoñ kī dīvār banī
kaTh-putli ne holi kheli
aur kanchon se goli kheli
pichkari se rang uDaya
sab ko us ne bhut banaya
tanDau nach jo unhen nachwaya
nasha KHushi ka sab par chhaya
purab dekho pachchhim dekho
utar dekho dakhkhin dekho
ghabrahaT mein chalte jao
lauTte aur palaTte jao
aao aao jao jao
khao piyo aur mauj manao
rangon se bazar bharo
mahlon ki diwar rango
darwaze rangin karo
do ko toDo tin karo
kaTh-putli ne holi kheli
kanchon se hai goli kheli
bachche us ke sang rahe
aapas mein kyun jang rahe
sach ka bol jo baala ho
bhutnon ka munh kala ho
kaTh-putli gulnar bani
rangon ki diwar bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.