kaTh-putli ne paude lagae
āñgan meñ
kaTh-putlī ne paude lagā.e
is meñ nikle phuul
rang birange
uude piile
niile laal gulābī
rangoñ kī varshā se jaage
us ke ghar kā āñgan
paa.el kī ho chhan chhan
gamloñ kā bāzār lagā hai
ghar dekho phūloñ se sajā hai
guDDū raajā apne haath se
kaliyoñ ko yuuñ toḌeñ moḌeñ
phuul meñ baaqī jaan na chhoḌeñ
kaTh-putlī jab chain gañvā.e
aur vo bachchoñ par jhunjhlā.e
chuuñ chuuñ chuuñ chuuñ kartī jaa.e
ḳhud ro.e auroñ ko rulā.e
har pattī par aañsū Tapkeñ
chupke chupke
jaise motī
kaahe ko ye motī role
dekho kyā kaTh-putlī bole
aangan mein
kaTh-putli ne paude lagae
is mein nikle phul
rang birange
ude pile
nile lal gulabi
rangon ki warsha se jage
us ke ghar ka aangan
pael ki ho chhan chhan
gamlon ka bazar laga hai
ghar dekho phulon se saja hai
guDDu raja apne hath se
kaliyon ko yun toDen moDen
phul mein baqi jaan na chhoDen
kaTh-putli jab chain ganwae
aur wo bachchon par jhunjhlae
chun chun chun chun karti jae
KHud roe auron ko rulae
har patti par aansu Tapken
chupke chupke
jaise moti
kahe ko ye moti role
dekho kya kaTh-putli bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.