kaun gunahgar
aaj sub.h jab āsmāñ par kaale
ghanere abroñ kā baserā thā
maiñ apne baam par rakhī mez par
kal ke aḳhbār ke varaq palaT rahā thā
ik ḳhabar dikhī us meñ jo utar nahīñ rahī thī
zehn se ka.ī martaba dhyān bhaTkāne kī
jidd-o-jahd bhī kī par kāmyāb na huā
aḳhbār bhī murjhā gayā thā is ḳhabar se
shāyad azaab thā use bhī
kaise koī insān dūsre insān ko maar detā hai
kuchh yuuñ mahsūs ho rahā thā jaise us
dūsre insān ke surḳh ḳhuun ke dhabbe mere aḳhbār
ke varaq par bhī paḌe the
ik ajiib sī taaze ḳhuun kī bū aane lagī thī
kaun thā gunahgār is qatl kā
vo pahlā insān jis kī thī fitrat aisī
yā ḳhud ḳhudā
jis ne banāyā thā vo qātil insān
faisla abhī bhī baaqī hai
aaj subh jab aasman par kale
ghanere abron ka basera tha
main apne baam par rakhi mez par
kal ke aKHbar ke waraq palaT raha tha
ek KHabar dikhi us mein jo utar nahin rahi thi
zehn se kai martaba dhyan bhaTkane ki
jidd-o-jahd bhi ki par kaamyab na hua
aKHbar bhi murjha gaya tha is KHabar se
shayad azab tha use bhi
kaise koi insan dusre insan ko mar deta hai
kuchh yun mahsus ho raha tha jaise us
dusre insan ke surKH KHun ke dhabbe mere aKHbar
ke waraq par bhi paDe the
ek ajib si taze KHun ki bu aane lagi thi
kaun tha gunahgar is qatl ka
wo pahla insan jis ki thi fitrat aisi
ya KHud KHuda
jis ne banaya tha wo qatil insan
faisla abhi bhi baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.