kaun hai tu
saaya merā mujh ko dekh ke bhāge hai
phir bhī mere saath rahe hai
kaun hai tū
abhī qurbat hī ziist kā baa.is hai
phir bhī tujh se Dar hī lage hai
kaun hai tū
tujh ko dekh ke pyaar se dil bhar aa.e kabhī
duuje lamhe dil larze hai
kaun hai tū
tere man kī bāteñ man kī bāteñ haiñ
phir bhī man kī baat na samjhe
kaun hai tū
raaz kī saarī bāteñ tujh se kar luuñ maiñ
phir bhī jī kā haal chhupā.ūñ
kaun hai tū
sharm se sar jhuk jaa.e jab bhī aa.e tū
phir bhī dil ke paas rahe hai
kaun hai tū
terī sāñsoñ kā mausam hī mausam hai
ġhairoñ kā mausam hī lage hai
kaun hai tū
tujh ko dekh ke lab ḳhushk ho jaa.eñ kabhī
bāteñ karne ko dil tarse hai
kaun hai tū
jhuk ke jab bhī dekhūñ apnī lagtī hai
phir bhī mujh se duur rahe hai
kaun hai tū
saya mera mujh ko dekh ke bhage hai
phir bhi mere sath rahe hai
kaun hai tu
abhi qurbat hi zist ka bais hai
phir bhi tujh se Dar hi lage hai
kaun hai tu
tujh ko dekh ke pyar se dil bhar aae kabhi
duje lamhe dil larze hai
kaun hai tu
tere man ki baaten man ki baaten hain
phir bhi man ki baat na samjhe
kaun hai tu
raaz ki sari baaten tujh se kar lun main
phir bhi ji ka haal chhupaun
kaun hai tu
sharm se sar jhuk jae jab bhi aae tu
phir bhi dil ke pas rahe hai
kaun hai tu
teri sanson ka mausam hi mausam hai
ghairon ka mausam hi lage hai
kaun hai tu
tujh ko dekh ke lab KHushk ho jaen kabhi
baaten karne ko dil tarse hai
kaun hai tu
jhuk ke jab bhi dekhun apni lagti hai
phir bhi mujh se dur rahe hai
kaun hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.