kaun rok sakta hai
laakh zabt-e-ḳhvāhish ke
be-shumār da.ave hoñ
us ko bhuul jaane ke
be-panah irāde hoñ
aur is mohabbat ko tark kar ke jiine kā
faisla sunāne ko
kitne lafz soche hoñ
dil ko us kī aahaT par
barmalā dhaḌakne se kaun rok saktā hai
phir vafā ke sahrā meñ
us ke narm lahje aur sogvār āñkhoñ kī
ḳhushbuoñ ko chhūne kī
justujū meñ rahne se
ruuh tak pighalne se
nange paañv chalne se
kaun rok saktā hai
āñsuoñ kī bārish meñ
chāhe dil ke hāthoñ meñ
hijr ke musāfir ke
paañv tak bhī chhū aao
jis ko lauT jaanā ho
us ko duur jaane se
rāsta badalne se
duur jā nikalne se
kaun rok saktā hai
lakh zabt-e-KHwahish ke
be-shumar dawe hon
us ko bhul jaane ke
be-panah irade hon
aur is mohabbat ko tark kar ke jine ka
faisla sunane ko
kitne lafz soche hon
dil ko us ki aahaT par
barmala dhaDakne se kaun rok sakta hai
phir wafa ke sahra mein
us ke narm lahje aur sogwar aankhon ki
KHushbuon ko chhune ki
justuju mein rahne se
ruh tak pighalne se
nange panw chalne se
kaun rok sakta hai
aansuon ki barish mein
chahe dil ke hathon mein
hijr ke musafir ke
panw tak bhi chhu aao
jis ko lauT jaana ho
us ko dur jaane se
rasta badalne se
dur ja nikalne se
kaun rok sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.