kaun sa bagh
kaun se baaġh meñ jā kar ho aa.e
dil kī har baat sunā kar ho aa.e!
ek saa.at ko jahāñ dekhā ka.ī chehre the
ḳhush-numā bazm meñ har ek taraf
phuul ke adh-khilte hue sehre the
ik ajab āb-o-havā bikhrī thī
jis ke chalne se sahar aur bahut nikhrī thī
maiñ ne har samt kahā maiñ huuñ! ye tum ho?
tū hai?
aise aalam meñ ye kyā ḳhushbū hai?
ik ajab vaqt rahā diid kā dekhā paayā
mahfil-e-rāh meñ jis jis ko zamīñ par dekhā
us ko is baaġh meñ chalte paayā
kaun se bagh mein ja kar ho aae
dil ki har baat suna kar ho aae!
ek saat ko jahan dekha kai chehre the
KHush-numa bazm mein har ek taraf
phul ke adh-khilte hue sehre the
ek ajab aab-o-hawa bikhri thi
jis ke chalne se sahar aur bahut nikhri thi
main ne har samt kaha main hun! ye tum ho?
tu hai?
aise aalam mein ye kya KHushbu hai?
ek ajab waqt raha did ka dekha paya
mahfil-e-rah mein jis jis ko zamin par dekha
us ko is bagh mein chalte paya
- Book : TASTEER (Pg. 113)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : Room No.1, 1st Floor, Awaan Plaza, Shadmaan (Issue No. 3 October/December. 1997)
- Edition : Issue No. 3 October/December. 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.