kaun si disha kahan ki disha
ḳhātme se pahle agar ḳhatm honā hai to samajh lo ki ḳhātma ho chukā hai
silā.ī machine par merī aurat kī niiñd meñ soī girnā
mere maqsūm kā vīrāna hai
havās bahut hai qissoñ par bhārī haiñ
havās jānte haiñ kahā nahīñ jānte hue bhī sabhī jānte haiñ
ki duniyā paidā hī nahīñ huī
jis meñ bheḌiye na hoñ sirf ḳhargosh rah rahe hoñ
vo dekho vo koī safed ḳhargosh hī to hai
jo abhī abhī is jhāḌī se uchhal ke is jhāḌī tak gayā hai
magar us kī safedī meñ Thiik us kī gardan kī jagah
bheḌiye ke daañt lagne se gahre ḳhuun kā muqaddar lagā hai
is tarah muqaddar ko ḳhuun ke dhabbe meñ dekhnā
kahāñ kī duniyā hai
kyā kabhī aisā huā ki maut ne apnī ġhizā meñ ḳhud ko khāyā
us chitrkār ko bulā sako to bulāo
zarā jald bulāo
ki vo kahīñ aur nahīñ hogā
chemistry ke sho.abe meñ hogā
ki jahāñ rakhe hue har rañg meñ us ke apne kīmiyā.ī aaseb kā baserā hai
ham kisī na kisī rañg ko ḳhud taarī hone kī dāvat dete haiñ
aur is ke aaseb se apnī jild nuchvāte haiñ
shiryānoñ ko udhaḌvāte haiñ
har rañg meñ baserā karne vaale aaseb ne hamārī mohabbat hī to khāyā
is liye to maiñ sote apne beTe ko nahīñ jagātā
ki vo har roz motor-cycle meñ petrol kī jagah
apne hisse kī bedārī aur niiñd donoñ ko ek saath Daal detā hai
is liye meñ der tak sotī apnī beTī ko nahīñ jagātā
ki vo kitchen meñ chaa.e banāne kī abdiyat ko bhī
chaa.e kī pyālī meñ uñDel detī hai
KHatme se pahle agar KHatm hona hai to samajh lo ki KHatma ho chuka hai
silai machine par meri aurat ki nind mein soi girna
mere maqsum ka virana hai
hawas bahut hai qisson par bhaari hain
hawas jaante hain kaha nahin jaante hue bhi sabhi jaante hain
ki duniya paida hi nahin hui
jis mein bheDiye na hon sirf KHargosh rah rahe hon
wo dekho wo koi safed KHargosh hi to hai
jo abhi abhi is jhaDi se uchhal ke is jhaDi tak gaya hai
magar us ki safedi mein Thik us ki gardan ki jagah
bheDiye ke dant lagne se gahre KHun ka muqaddar laga hai
is tarah muqaddar ko KHun ke dhabbe mein dekhna
kahan ki duniya hai
kya kabhi aisa hua ki maut ne apni ghiza mein KHud ko khaya
us chitrkar ko bula sako to bulao
zara jald bulao
ki wo kahin aur nahin hoga
chemistry ke shoabe mein hoga
ki jahan rakhe hue har rang mein us ke apne kimiyai aaseb ka basera hai
hum kisi na kisi rang ko KHud tari hone ki dawat dete hain
aur is ke aaseb se apni jild nuchwate hain
shiryanon ko udhaDwate hain
har rang mein basera karne wale aaseb ne hamari mohabbat hi to khaya
is liye to main sote apne beTe ko nahin jagata
ki wo har roz motor-cycle mein petrol ki jagah
apne hisse ki bedari aur nind donon ko ek sath Dal deta hai
is liye mein der tak soti apni beTi ko nahin jagata
ki wo kitchen mein chae banane ki abdiyat ko bhi
chae ki pyali mein unDel deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.