jin chīzoñ kā sapnā dekhā
vo sab chīzeñ pā.īñ haiñ
jag vāloñ ne mehnat kī hai
saarī chiiz jaTā.īñ haiñ
ab jab sab kuchh paas hai mere
koī bhī romance nahīñ
ishq ke koī maze nahīñ haiñ
Tiis nahīñ hai phāñs nahīñ
sapnoñ kī dhartī upjā.ū
sapnoñ se sapne ugte haiñ
sapne kis māhaul meñ jaane
aate sote jāgte haiñ
ek savāl jo be-ma.anī hai
kyā paayā hai kyā khoyā hai
ġhurbat yā ki amīrī kā ho
paimāna koī puḳhta hai
aḳhtar-ul-īmān ne bhaa.ī
baḌe pate kī baat kahī hai
''kaun sitāre chhū saktā hai
raah meñ saañs ukhaḌ jaatī hai''
jin chizon ka sapna dekha
wo sab chizen pain hain
jag walon ne mehnat ki hai
sari chiz jaTain hain
ab jab sab kuchh pas hai mere
koi bhi romance nahin
ishq ke koi maze nahin hain
Tis nahin hai phans nahin
sapnon ki dharti upjau
sapnon se sapne ugte hain
sapne kis mahaul mein jaane
aate sote jagte hain
ek sawal jo be-mani hai
kya paya hai kya khoya hai
ghurbat ya ki amiri ka ho
paimana koi puKHta hai
aKHtar-ul-iman ne bhai
baDe pate ki baat kahi hai
kaun sitare chhu sakta hai
rah mein sans ukhaD jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.