kawwa aur koyal
kisī kavve ne ik koyal se pūchā
batā bahnā ki hai ye mājrā kyā
ġhazab hai ye ki ham donoñ haiñ kaale
ḳhudā ke fazl se haiñ aql vaale
magar duniyā kare kyuuñ pyaar tujh se
raheñ chhoTe baḌe bezār mujh se
tirā hī naam hai sab kī zabāñ par
tirā jaadū to hai saare jahāñ par
jo shā.er haiñ likheñ terā tarāna
batā terā hai kyuuñ āshiq zamāna
rahā kartī hai tū bachchoñ ke dil meñ
magar ik maiñ ki chuhā jaise bil meñ
jahāñ jā kar karūñ maiñ kaa.eñ kaa.eñ
vahāñ se maar kar mujh ko bhagā.eñ
nazar meñ tiir aur talvār ban kar
khaTaktā huuñ diloñ meñ ḳhaar ban kar
jise dekho use mujh se hai vahshat
sabhī ko naam se mere hai nafrat
kahā koyal ne kavve se ki bhaa.ī
na kyuuñ terī samajh meñ baat aa.ī
jise aatī na ho shīrīñ-bayānī
kare kyā vo diloñ par hukmarānī
haiñ sab us ke jo mīThe bol bole
jo lab khol to ras kānoñ meñ ghole
kahāñ maiñ bolne meñ chūktī huuñ
magar jab boltī huuñ kūktī huuñ
mirī āvāz meñ phūloñ kī narmī
tirī āvāz meñ sho.aloñ kī garmī
zabāñ se maiñ banī ā.ankhoñ kā taarā
magar terī zabāñ ne tujh ko maarā
tū jis din siikh legā ḳhush-kalāmī
milegī har jagah tujh ko salāmī
kisi kawwe ne ek koyal se pucha
bata bahna ki hai ye majra kya
ghazab hai ye ki hum donon hain kale
KHuda ke fazl se hain aql wale
magar duniya kare kyun pyar tujh se
rahen chhoTe baDe bezar mujh se
tera hi nam hai sab ki zaban par
tera jadu to hai sare jahan par
jo shaer hain likhen tera tarana
bata tera hai kyun aashiq zamana
raha karti hai tu bachchon ke dil mein
magar ek main ki chuha jaise bil mein
jahan ja kar karun main kaen kaen
wahan se mar kar mujh ko bhagaen
nazar mein tir aur talwar ban kar
khaTakta hun dilon mein KHar ban kar
jise dekho use mujh se hai wahshat
sabhi ko nam se mere hai nafrat
kaha koyal ne kawwe se ki bhai
na kyun teri samajh mein baat aai
jise aati na ho shirin-bayani
kare kya wo dilon par hukmarani
hain sab us ke jo miThe bol bole
jo lab khol to ras kanon mein ghole
kahan main bolne mein chukti hun
magar jab bolti hun kukti hun
meri aawaz mein phulon ki narmi
teri aawaz mein shoalon ki garmi
zaban se main bani aaankhon ka tara
magar teri zaban ne tujh ko mara
tu jis din sikh lega KHush-kalami
milegi har jagah tujh ko salami
- Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 36)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.