keyboard actiwist
jangoñ ḳhūn-āshāmiyoñ kī gard
chehroñ par oḌhe
hairāñ lab basta bachcho
sāhil par siip kī mānind
auñdhe muñh bikhre motī jaise bachcho
be-libās saḌkoñ par bhāgte
dahshat-zada sūkhe bachcho
ḳhudā ko is duniyā kī shikāyat lagāne vaale
rote bilakte jaañ se guzarte bachcho
tār-tār pairāhan jism darīda ruuh raakh badan
aziim insānī tahzīb ke
malbe tale dabe mazlūm bachcho
tayyāroñ kī ghan-garaj sun kar sahamte
gola-bārī se peT bharte bachcho
kachre se chun kar khāte be-ḳhānumāñ sayyāro
peT kā dozaḳh bharne ko
ghaas ubālte bachcho
ham ne tumhāre liye
kitnī hī udaas nazmeñ likhīñ
nauhe gaa.e
marsiye paḌhe
aur tum phir bhī sākit baiThe ho
duniyā ko shākī nazar se takte ho
batāo bhalā
keyboard activist
aur kyā kar saktā thā
jangon KHun-ashamiyon ki gard
chehron par oDhe
hairan lab basta bachcho
sahil par sip ki manind
aundhe munh bikhre moti jaise bachcho
be-libas saDkon par bhagte
dahshat-zada sukhe bachcho
KHuda ko is duniya ki shikayat lagane wale
rote bilakte jaan se guzarte bachcho
tar-tar pairahan jism darida ruh rakh badan
azim insani tahzib ke
malbe tale dabe mazlum bachcho
tayyaron ki ghan-garaj sun kar sahamte
gola-bari se peT bharte bachcho
kachre se chun kar khate be-KHanuman sayyaro
peT ka dozaKH bharne ko
ghas ubaalte bachcho
hum ne tumhaare liye
kitni hi udas nazmen likhin
nauhe gae
marsiye paDhe
aur tum phir bhi sakit baiThe ho
duniya ko shaki nazar se takte ho
batao bhala
keyboard actiwist
aur kya kar sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.