KHak aur KHun
ai mirī mūnis-e-ġham ai mirī pursān-e-mizāj
tū ne afsurdagi-e-dil kā sabab pūchhā hai
kyā batā.ūñ tujhe kis soch meñ hai qalb-e-hazīñ
kyā sunā.ūñ ki mirī aañkh ne kyā dekhā hai
ḳhaak aur ḳhuun ke ġhamnāk manāzir tauba
kis qadar zabt-shikan jalva-gah-e-duniyā hai
hasrateñ ḳhaak meñ miltī huī dekhīñ kyā kyā
kitnī mā'sūm tamannāoñ kā ḳhuuñ dekhā hai
aah vo gul jo na the nīm-shagufta bhī hanūz
daf'atan bād-e-ḳhizāñ ne jinheñ aa rauñdā hai
kitnā be-māya hai is daur meñ insāñ kā lahū
kitnā majbūr hai insān kabhī sochā hai
ik taraf gardish-e-hālāt-e-zamāna hai mire
ik taraf terā ye isrār ki ḳhush rahnā hai
shiddat-e-his mujhe majrūh kiye jaatī hai
zindagī hai ki na.e zaḳhm diye jaatī hai
ai mirī mūnis-e-ġham ai mirī pursān-e-mizāj
tū ne afsurdagi-e-dil kā sabab pūchhā hai
ai meri munis-e-gham ai meri pursan-e-mizaj
tu ne afsurdagi-e-dil ka sabab puchha hai
kya bataun tujhe kis soch mein hai qalb-e-hazin
kya sunaun ki meri aankh ne kya dekha hai
KHak aur KHun ke ghamnak manazir tauba
kis qadar zabt-shikan jalwa-gah-e-duniya hai
hasraten KHak mein milti hui dekhin kya kya
kitni ma'sum tamannaon ka KHun dekha hai
aah wo gul jo na the nim-shagufta bhi hanuz
daf'atan baad-e-KHizan ne jinhen aa raunda hai
kitna be-maya hai is daur mein insan ka lahu
kitna majbur hai insan kabhi socha hai
ek taraf gardish-e-haalat-e-zamana hai mere
ek taraf tera ye israr ki KHush rahna hai
shiddat-e-his mujhe majruh kiye jati hai
zindagi hai ki nae zaKHm diye jati hai
ai meri munis-e-gham ai meri pursan-e-mizaj
tu ne afsurdagi-e-dil ka sabab puchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.