KHak-e-dil
Interesting Fact
Jaan Nisar Akhtar wrote this emotional Nazm on the death of his wife Safiya Akhtar, mother of famous song-writer Javed Akhtar, while going to Lucknow.
lucknow mere vatan mere chaman-zār vatan
tere gahvāra-e-āġhosh meñ ai jān-e-bahār
apnī duniyā-e-hasīñ dafn kiye jaatā huuñ
tū ne jis dil ko dhaḌakne kī adā baḳhshī thī
aaj vo dil bhī yahīñ dafn kiye jaatā huuñ
dafn hai dekh mirā ahd-e-bahārāñ tujh meñ
dafn hai dekh mirī rūh-e-gulistāñ tujh meñ
merī gul-posh javāñ-sāl umañgoñ kā suhāg
merī shādāb tamannā ke mahakte hue ḳhvāb
merī bedār javānī ke firozāñ mah o saal
merī shāmoñ kī malāhat mirī sub.hoñ kā jamāl
merī mahfil kā fasāna mirī ḳhalvat kā fusūñ
merī dīvāngī-e-shauq mirā nāz-e-junūñ
mere marne kā salīqa mire jiine kā shu.ūr
merā nāmūs-e-vafā merī mohabbat kā ġhurūr
merī nabzoñ kā tarannum mire naġhmoñ kī pukār
mere sheroñ kī sajāvaT mire gītoñ kā siñgār
lucknow apnā jahāñ sauñp chalā huuñ tujh ko
apnā har ḳhvāb-e-javāñ sauñp chalā huuñ tujh ko
apnā sarmāya-e-jāñ sauñp chalā huuñ tujh ko
lucknow mere vatan mere chaman-zār vatan
ye mire pyaar kā madfan hī nahīñ hai tanhā
dafn haiñ is meñ mohabbat ke ḳhazāne kitne
ek unvān meñ muzmar haiñ fasāne kitne
ik bahan apnī rifāqat kī qasam khaa.e hue
ek maañ mar ke bhī siine meñ liye maañ kā gudāz
apne bachchoñ ke laḌakpan ko kaleje se lagā.e
apne khilte hue ma.asūm shagūfoñ ke liye
band āñkhoñ meñ bahāroñ ke javāñ ḳhvāb basā.e
ye mire pyaar kā madfan hī nahīñ hai tanhā
ek sāthī bhī tah-e-ḳhāk yahāñ sotī hai
arsa-e-dahr kī be-rahm kashākash kā shikār
jaan de kar bhī zamāne se na maane hue haar
apne tevar meñ vahī azm-e-javāñ-sāl liye
ye mire pyaar kā madfan hī nahīñ hai tanhā
dekh ik sham-e-sar-e-rāh-guzar chaltī hai
jagmagātā hai agar koī nishān-e-manzil
zindagī aur bhī kuchh tez qadam chaltī hai
lucknow mere vatan mere chaman-zār vatan
dekh is ḳhvāb-gah-e-nāz pe kal mauj-e-sabā
le ke nau-roz-e-bahārāñ kī ḳhabar aa.egī
surḳh phūloñ kā baḌe naaz se gūñdhe hue haar
kal isī ḳhaak pe gul-rañg sahar aa.egī
kal isī ḳhaak ke zarroñ meñ samā jā.egā rañg
kal mire pyaar kī tasvīr ubhar aa.egī
ai mirī rūh-e-chaman ḳhāk-e-lahad se terī
aaj bhī mujh ko tire pyaar kī bū aatī hai
zaḳhm siine ke mahakte haiñ tirī ḳhushbū se
vo mahak hai ki mirī saañs ghuTī jaatī hai
mujh se kyā baat banā.egī zamāne kī jafā
maut ḳhud aañkh milāte hue sharmātī hai
maiñ aur in āñkhoñ se dekhūñ tujhe paivand-e-zamīñ
is qadar zulm nahīñ haa.e nahīñ haa.e nahīñ
koī ai kaash bujhā de mirī āñkhoñ ke diye
chhīn le mujh se koī kaash nigāheñ merī
ai mirī sham-e-vafā ai mirī manzil ke charāġh
aaj tārīk huī jaatī haiñ rāheñ merī
tujh ko ro.uuñ bhī to kyā ro.uuñ ki in āñkhoñ meñ
ashk patthar kī tarah jam se ga.e haiñ mere
zindagī arsa-gah-e-johd-e-musalsal hī sahī
ek lamhe ko qadam tham se ga.e haiñ mere
phir bhī is arsa-gah-e-johd-e-musalsal se mujhe
koī āvāz pe āvāz diye jaatā hai
aaj sotā hī tujhe chhoḌ ke jaanā hogā
naaz ye bhī ġham-e-daurāñ kā uThānā hogā
zindagī dekh mujhe hukm-e-safar detī hai
ik dil-e-shola-ba-jāñ saath liye jaatā huuñ
har qadam tū ne kabhī azm-e-javāñ baḳhshā thaa!
maiñ vahī azm-e-javāñ saath liye jaatā huuñ
chuum kar aaj tirī ḳhāk-e-lahad ke zarre
an-ginat phuul mohabbat ke chaḌhātā jā.ūñ
jaane is samt kabhī merā guzar ho ki na ho
āḳhirī baar gale tujh ko lagātā jā.ūñ
lucknow mere vatan mere chaman-zār vatan
dekh is ḳhaak ko āñkhoñ meñ basā kar rakhnā
is amānat ko kaleje se lagā kar rakhnā
lucknow mere watan mere chaman-zar watan
tere gahwara-e-aghosh mein ai jaan-e-bahaar
apni duniya-e-hasin dafn kiye jata hun
tu ne jis dil ko dhaDakne ki ada baKHshi thi
aaj wo dil bhi yahin dafn kiye jata hun
dafn hai dekh mera ahd-e-bahaaran tujh mein
dafn hai dekh meri ruh-e-gulistan tujh mein
meri gul-posh jawan-sal umangon ka suhag
meri shadab tamanna ke mahakte hue KHwab
meri bedar jawani ke firozan mah o sal
meri shamon ki malahat meri subhon ka jamal
meri mahfil ka fasana meri KHalwat ka fusun
meri diwangi-e-shauq mera naz-e-junun
mere marne ka saliqa mere jine ka shuur
mera namus-e-wafa meri mohabbat ka ghurur
meri nabzon ka tarannum mere naghmon ki pukar
mere sheron ki sajawaT mere giton ka singar
lucknow apna jahan saunp chala hun tujh ko
apna har KHwab-e-jawan saunp chala hun tujh ko
apna sarmaya-e-jaan saunp chala hun tujh ko
lucknow mere watan mere chaman-zar watan
ye mere pyar ka madfan hi nahin hai tanha
dafn hain is mein mohabbat ke KHazane kitne
ek unwan mein muzmar hain fasane kitne
ek bahan apni rifaqat ki qasam khae hue
ek man mar ke bhi sine mein liye man ka gudaz
apne bachchon ke laDakpan ko kaleje se lagae
apne khilte hue masum shagufon ke liye
band aankhon mein bahaaron ke jawan KHwab basae
ye mere pyar ka madfan hi nahin hai tanha
ek sathi bhi tah-e-KHak yahan soti hai
arsa-e-dahr ki be-rahm kashakash ka shikar
jaan de kar bhi zamane se na mane hue haar
apne tewar mein wahi azm-e-jawan-sal liye
ye mere pyar ka madfan hi nahin hai tanha
dekh ek sham-e-sar-e-rah-guzar chalti hai
jagmagata hai agar koi nishan-e-manzil
zindagi aur bhi kuchh tez qadam chalti hai
lucknow mere watan mere chaman-zar watan
dekh is KHwab-gah-e-naz pe kal mauj-e-saba
le ke nau-roz-e-bahaaran ki KHabar aaegi
surKH phulon ka baDe naz se gundhe hue haar
kal isi KHak pe gul-rang sahar aaegi
kal isi KHak ke zarron mein sama jaega rang
kal mere pyar ki taswir ubhar aaegi
ai meri ruh-e-chaman KHak-e-lahad se teri
aaj bhi mujh ko tere pyar ki bu aati hai
zaKHm sine ke mahakte hain teri KHushbu se
wo mahak hai ki meri sans ghuTi jati hai
mujh se kya baat banaegi zamane ki jafa
maut KHud aankh milate hue sharmati hai
main aur in aankhon se dekhun tujhe paiwand-e-zamin
is qadar zulm nahin hae nahin hae nahin
koi ai kash bujha de meri aankhon ke diye
chhin le mujh se koi kash nigahen meri
ai meri sham-e-wafa ai meri manzil ke charagh
aaj tarik hui jati hain rahen meri
tujh ko roun bhi to kya roun ki in aankhon mein
ashk patthar ki tarah jam se gae hain mere
zindagi arsa-gah-e-johd-e-musalsal hi sahi
ek lamhe ko qadam tham se gae hain mere
phir bhi is arsa-gah-e-johd-e-musalsal se mujhe
koi aawaz pe aawaz diye jata hai
aaj sota hi tujhe chhoD ke jaana hoga
naz ye bhi gham-e-dauran ka uThana hoga
zindagi dekh mujhe hukm-e-safar deti hai
ek dil-e-shola-ba-jaan sath liye jata hun
har qadam tu ne kabhi azm-e-jawan baKHsha tha!
main wahi azm-e-jawan sath liye jata hun
chum kar aaj teri KHak-e-lahad ke zarre
an-ginat phul mohabbat ke chaDhata jaun
jaane is samt kabhi mera guzar ho ki na ho
aaKHiri bar gale tujh ko lagata jaun
lucknow mere watan mere chaman-zar watan
dekh is KHak ko aankhon mein basa kar rakhna
is amanat ko kaleje se laga kar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.