KHak-e-gulshan
ḳhāk-e-gulshan ko gul-fishāñ kar lo
zarra-zarra ko kahkashāñ kar lo
vaqt hai ab bhī ai chaman vaalo
apnā mahfūz āshiyāñ kar lo
ḳhāk-e-gulshan kī azmatoñ kī qasam
ab bhī ta.amīr gulsitāñ kar lo
ruḳh havādis kā jab ho sū-e-chaman
zad meñ tūfāñ ke āshiyāñ kar lo
hai zarūrat qadam milā ke chalo
azm-e-manzil ko kāmrāñ kar lo
muntashir ho ke jī nahīñ sakte
ham-nashīnoñ ko ham-zabāñ kar lo
yahī paiġhām hai 'hilāl' apnā
daur-e-jamhūr jāvedāñ kar lo
KHak-e-gulshan ko gul-fishan kar lo
zarra-zarra ko kahkashan kar lo
waqt hai ab bhi ai chaman walo
apna mahfuz aashiyan kar lo
KHak-e-gulshan ki azmaton ki qasam
ab bhi tamir gulsitan kar lo
ruKH hawadis ka jab ho su-e-chaman
zad mein tufan ke aashiyan kar lo
hai zarurat qadam mila ke chalo
azm-e-manzil ko kaamran kar lo
muntashir ho ke ji nahin sakte
ham-nashinon ko ham-zaban kar lo
yahi paigham hai 'hilal' apna
daur-e-jamhur jawedan kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.