KHak-e-jamia
Interesting Fact
(The epitaph on Dr. Zakir Hussain's tomb)
ḳhāk-e-pāk-e-jāmia
āsmāñ se baḌh gayā hai aaj terā martaba
hai tirī āġhosh meñ ab mahv-e-ḳhvāb
ilm-o-tahzīb-o-ḳhirad kā āftāb
aaj hai madfūn tere sīna-e-be-nūr meñ
mādar-e-hindostāñ kā nūr-e-ain
sadr-e-bazm-e-ahl-e-dil zākir-husain
KHak-e-pak-e-jamia
aasman se baDh gaya hai aaj tera martaba
hai teri aaghosh mein ab mahw-e-KHwab
ilm-o-tahzib-o-KHirad ka aaftab
aaj hai madfun tere sina-e-be-nur mein
madar-e-hindostan ka nur-e-ain
sadr-e-bazm-e-ahl-e-dil zakir-husain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.