Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Khaali bore mein zaKHmi billa

Saqi Faruqi

Khaali bore mein zaKHmi billa

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    jān-mohamād-ḳhān

    safar āsān nahīñ

    dhaan ke is ḳhālī bore meñ

    jaan ulajhtī hai

    paT-san mazbūt salāḳheñ dil meñ gaḌī haiñ

    aur āñkhoñ ke zard kaToroñ meñ

    chāñd ke sikke chhan-chhan girte haiñ

    aur badan meñ raat phailtī jaatī hai...

    aaj tumhārī nañgī piiTh par

    aag jalā.e kaun

    añgāre dahkā.e kaun

    jidd-o-johd ke

    ḳhūnīñ phuul khilā.e kaun

    mere shola-gar panjoñ meñ jaan nahīñ

    aaj safar āsān nahīñ

    thoḌī der meñ ye pagDanDī

    TuuT ke ik gande tālāb meñ gir jā.egī

    maiñ apne tābūt tanhā.ī se lipaT kar

    so jā.ūñgā

    paanī paanī ho jā.ūñgā

    aur tumheñ aage jānā...

    ik... gahrī niind meñ chalte jaanā hai

    aur tumheñ is nazar na aane vaale bore...

    ...apne ḳhālī bore pahchān nahīñ

    jān-mohamād-ḳhān

    safar āsān nahīñ

    An Injured Tomcat in an Empty Sack

    jaan-mohamad-KHan

    safar aasan nahin

    dhan ke is KHali bore mein

    jaan ulajhti hai

    paT-san ki mazbut salaKHen dil mein gaDi hain

    aur aankhon ke zard kaToron mein

    chand ke sikke chhan-chhan girte hain

    aur badan mein raat phailti jati hai

    aaj tumhaari nangi piTh par

    aag jalae kaun

    angare dahkae kaun

    jidd-o-johd ke

    KHunin phul khilae kaun

    mere shola-gar panjon mein jaan nahin

    aaj safar aasan nahin

    thoDi der mein ye pagDanDi

    TuT ke ek gande talab mein gir jaegi

    main apne tabut ki tanhai se lipaT kar

    so jaunga

    pani pani ho jaunga

    aur tumhein aage jaana

    ek gahri nind mein chalte jaana hai

    aur tumhein is nazar na aane wale bore

    apne KHali bore ki pahchan nahin

    jaan-mohamad-KHan

    safar aasan nahin

    An Injured Tomcat in an Empty Sack

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Khaali bore mein zaKHmi billa Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now