Khaali ghar
tumhārī lālchī duniyā
mirī duniyā se
kitnī muḳhtalif hai
tumheñ mil jaa.e jo fursat
mujhe milne ko aa jaanā
tumhāre naam kā āshiq
jo rahtā thā yahāñ pahle
jise kahte rahe haiñ log munkir bhī kabhī fāsiq
ab us kī raakh rakkhī hai
koī bhī ab nahīñ rahtā yahāñ hai
tumhārī zaat rahtī hai
haañ
mire āshiq
tumhārī baat rahtī hai
tumhaari lalchi duniya
meri duniya se
kitni muKHtalif hai
tumhein mil jae jo fursat
mujhe milne ko aa jaana
tumhaare nam ka aashiq
jo rahta tha yahan pahle
jise kahte rahe hain log munkir bhi kabhi fasiq
ab us ki rakh rakkhi hai
koi bhi ab nahin rahta yahan hai
tumhaari zat rahti hai
han
mere aashiq
tumhaari baat rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.