Khaali hath sawali chehre
ham bhī haiñ is shahar ke baasī
jis ne lākhoñ hāthoñ meñ kashkol diyā hai
kal tak thā ye apnā aalam
raah meñ vā hāthoñ meñ jab tak
ik ik chavannī rakh nahīñ dete dil ko chain nahīñ aatā thā
ghar vaalī bhī ik do ḳhālī peT meñ daane pahuñchā kar hī ḳhud khāne meñ sukh paatī thī
aaj ye manzil aa pahuñchī hai
kal se ziyāda ḳhālī haath savālī chehre
dil meñ dard jagāte haiñ
dard ke maare jeb meñ jaatā haath magar ruk jaatā hai
haath chalā bhī jaa.e andar to chavannī chhup jaatī hai
ghar vaalī ko pakī huī hāñDī pe kabhī to jabr sā karnā paḌtā hai
kabhī to Dhakkan chhū te hī kuchh aisī vo Dar jaatī hai
jaise handī meñ kaale aur andhe mustaqbil kī nāgin chhup kar baiThī ho
hum bhi hain is shahar ke basi
jis ne lakhon hathon mein kashkol diya hai
kal tak tha ye apna aalam
rah mein wa hathon mein jab tak
ek ek chawanni rakh nahin dete dil ko chain nahin aata tha
ghar wali bhi ek do KHali peT mein dane pahuncha kar hi KHud khane mein sukh pati thi
aaj ye manzil aa pahunchi hai
kal se ziyaada KHali hath sawali chehre
dil mein dard jagate hain
dard ke mare jeb mein jata hath magar ruk jata hai
hath chala bhi jae andar to chawanni chhup jati hai
ghar wali ko paki hui hanDi pe kabhi to jabr sa karna paDta hai
kabhi to Dhakkan chhu te hi kuchh aisi wo Dar jati hai
jaise handi mein kale aur andhe mustaqbil ki nagin chhup kar baiThi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.