Khaali lamhon ki nazm
na manzil kā ta.ayyun na rāstoñ kā patā
sulagtī dhuup tapte pattharoñ ke siine par
kabhī milā na milegā kisī kā naqsh-e-pā
asīr-e-sail-e-gumāñ hai urūs-e-umr-e-ravāñ
libās tañg lahū rañg
mauj-e-ḳhūñ pyāsī
sadā-ba-sahrā haiñ chīḳheñ darīda jism-e-zamīñ
tamām dil-zada chehre bujhī bujhī nazreñ
tamām bikhre irāde dhuāñ dhuāñ yādeñ
qur.ān-o-dīd kā saaya lahū kī gardish par
pashemāñ dushman-e-ādam ḳhud apnī sāzish par
havā meñ aag meñ paanī meñ TūTte rishte
shikasta qasr-e-mohabbat udaas nasloñ kā
shikasta saañs kī abtar sī koshish-e-paiham
vajūd DhūñDne kī hādsoñ ke sahrā meñ
vajūd DhūñDne kī faisloñ kī vaadī meñ
shikasta saañs kī sa.ī-e-garāñ garāñ-māya
ik iztirāb-e-tajassus fasurdagī uljhan
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī lazzat haqīqatoñ kī chubhan
shikasta saañs kī sa.ī-e-garāñ kā sarmāya
na manziloñ kā ta.ayyun na rāstoñ kā patā
sulagtī dhuup tapte pattharoñ ke siine par
kabhī milā na milegā kisī kā naqsh-e-pā
na manzil ka tayyun na raston ka pata
sulagti dhup tapte pattharon ke sine par
kabhi mila na milega kisi ka naqsh-e-pa
asir-e-sail-e-guman hai urus-e-umr-e-rawan
libas tang lahu rang
mauj-e-KHun pyasi
sada-ba-sahra hain chiKHen darida jism-e-zamin
tamam dil-zada chehre bujhi bujhi nazren
tamam bikhre irade dhuan dhuan yaaden
quran-o-did ka saya lahu ki gardish par
pasheman dushman-e-adam KHud apni sazish par
hawa mein aag mein pani mein TuTte rishte
shikasta qasr-e-mohabbat udas naslon ka
shikasta sans ki abtar si koshish-e-paiham
wajud DhunDne ki hadson ke sahra mein
wajud DhunDne ki faislon ki wadi mein
shikasta sans ki sai-e-garan garan-maya
ek iztirab-e-tajassus fasurdagi uljhan
KHayal-o-KHwab ki lazzat haqiqaton ki chubhan
shikasta sans ki sai-e-garan ka sarmaya
na manzilon ka tayyun na raston ka pata
sulagti dhup tapte pattharon ke sine par
kabhi mila na milega kisi ka naqsh-e-pa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.