Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Khaali sip

Hurmatul Ikaram

Khaali sip

Hurmatul Ikaram

MORE BYHurmatul Ikaram

    maujoñ ke be-rahm kachoke sahtā

    maiñ sāgar tah tak pahuñchā

    paanī ke andhe sahrā meñ

    saath ye āñkheñ detīñ bhī kyā

    hāthoñ ko aañkh banāyā

    pūñjī ik chhoTī sameTī

    aur muTThiyāñ bhīñche

    tharrāte anfās sañbhāle

    uupar aaya

    ḳhushī ḳhushī muTThiyoñ ko kholā

    jin meñ thoḌe se kankar the

    do ik ḳhālī siip

    maujon ke be-rahm kachoke sahta

    main sagar ki tah tak pahuncha

    pani ke andhe sahra mein

    sath ye aankhen detin bhi kya

    hathon hi ko aankh banaya

    punji ek chhoTi si sameTi

    aur muTThiyan bhinche

    tharraate anfas sanbhaale

    upar aaya

    KHushi KHushi muTThiyon ko khola

    jin mein thoDe se kankar the

    do ek KHali sip

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now