KHamosh raat uski muntazir thi
ḳhāmosh raat us kī muntazir thī
vo ek martaba phir se
apnī mas.hūr kun shaḳhsiyat se
merī niiñd ko shikast dete hue
mere ḳhvāb kī dahlīz par
maazī kī yādoñ se mahaktā huā
bouquet thāme khaḌā thā
maiñ dastak kī muntazir thī
vo dabe qadmoñ mere ḳhvāb kī adh-khilī khiḌkī se
andar dāḳhil huā aur ḳhāmoshī se mere pīchhe aan khaḌā huā
vo ḳhāmoshī bilkul aisī thī ki
jaise sahrā meñ koī zaḳhmī udaas panchhī
kisī dev kī qaid meñ muntazir ho
kisī masīhā kī masīhā.ī kā
aur vo masīhā ḳhud kisī masīhā ke intizār meñ
sham.a jalā.e kisī kī chaukhaT par baiThā ho
vo uñgliyoñ kī poroñ meñ cigarette thāme khaḌā thā
vo lambe lambe kash le rahā thā
phir vo thak gayā
jaise lambī masāfat ke baad
koī musāfir kisī kārvāñ sarā.e meñ jā baiThe
aur yak-dam apnī manzil kā tasavvur aate hī
is be-vaj.h thakān ko alvidā.a kah de
us ne apne hāthoñ ko ek baar phir se harakat dī
uñgliyoñ meñ dabe cigarette ko
hoñToñ ke qarīb le gayā
aur narmī se use chhuā
vo us kā āḳhirī kash thā
āḳhirī kash jaise āḳhirī vaar ho
laboñ par fātehāna muskurāhaT sajā.e us ne āḳhirī kash mukammal kiyā
phir zamīn pe pheñkā aur masal diyā
'vo' aur naarī ek sī ḳhusūsiyāt ke hāmil haiñ
jab tak sulgan baaqī rahe
hoñToñ ke qarīb raheñge
aur ThanDī hote hī apne anjām ko pahuñch jā.eñge
sard raat us kī tapish aur harārat ko bhī nigal chukī thī
vo bhī apne anjām kī āḳhirī sarhadoñ par thī
raat chhuTtī jā rahī thī
jaise us kī dīvāngī kī vahshat se Dare hue tāroñ ko
lorī sunāte sunāte us ne muqaddas chāñd ko alvidā.a kah diyā ho
aur maiñ apnī āñkhoñ meñ lā-hāsil kī tamanna sajā.e
jaise tez āñdhī meñ taak meñ paḌe hue diye ke gird hatheliyāñ jamā.e khaḌī thī
KHamosh raat us ki muntazir thi
wo ek martaba phir se
apni mashur kun shaKHsiyat se
meri nind ko shikast dete hue
mere KHwab ki dahliz par
mazi ki yaadon se mahakta hua
bouquet thame khaDa tha
main dastak ki muntazir thi
wo dabe qadmon mere KHwab ki adh-khili khiDki se
andar daKHil hua aur KHamoshi se mere pichhe aan khaDa hua
wo KHamoshi bilkul aisi thi ki
jaise sahra mein koi zaKHmi udas panchhi
kisi dew ki qaid mein muntazir ho
kisi masiha ki masihai ka
aur wo masiha KHud kisi masiha ke intizar mein
shama jalae kisi ki chaukhaT par baiTha ho
wo ungliyon ki poron mein cigarette thame khaDa tha
wo lambe lambe kash le raha tha
phir wo thak gaya
jaise lambi masafat ke baad
koi musafir kisi karwan sarae mein ja baiThe
aur yak-dam apni manzil ka tasawwur aate hi
is be-wajh thakan ko alwidaa kah de
us ne apne hathon ko ek bar phir se harakat di
ungliyon mein dabe cigarette ko
honTon ke qarib le gaya
aur narmi se use chhua
wo us ka aaKHiri kash tha
aaKHiri kash jaise aaKHiri war ho
labon par fatehana muskurahaT sajae us ne aaKHiri kash mukammal kiya
phir zamin pe phenka aur masal diya
'wo' aur nari ek si KHususiyat ke hamil hain
jab tak sulgan baqi rahe
honTon ke qarib rahenge
aur ThanDi hote hi apne anjam ko pahunch jaenge
sard raat us ki tapish aur hararat ko bhi nigal chuki thi
wo bhi apne anjam ki aaKHiri sarhadon par thi
raat chhuTti ja rahi thi
jaise us ki diwangi ki wahshat se Dare hue taron ko
lori sunate sunate us ne muqaddas chand ko alwidaa kah diya ho
aur main apni aankhon mein la-hasil ki tamanna sajae
jaise tez aandhi mein tak mein paDe hue diye ke gird hatheliyan jamae khaDi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.