KHamosh raho
Interesting Fact
(January 1979) dedicated to Ghulam Rabbani Taban
jo kuchh dekho vo na kaho ḳhāmosh raho
socho lekin lab sī lo ḳhāmosh raho
ḳhuddārī kā ḳhuun karo ḳhāmosh raho
āgāhī kā karb saho ḳhāmosh raho
tum ho mohazzab kyuuñ karte ho shor-o-ġhul
chain se apne ghar baiTho ḳhāmosh raho
har lafḌe se bhāgo jitnā bhaag sako
har jhagḌe se duur raho ḳhāmosh raho
aag lage insān mareñ yā shahr luTe
tum na kuḌho tum mat bolo ḳhāmosh raho
e.azāz apnā tum ne kyuuñ lauTāyā hai
aag parā.ī meñ na jalo ḳhāmosh raho
sach kā sāthī is dhartī par koī nahīñ
tanhā ho socho samjho ḳhāmosh raho
bahutere haiñ haq-goī ke da.avedār
tum hī kyuuñ mansūr bano ḳhāmosh raho
mere bhaa.ī vaqt burā hai chup baiTho
'nāzish' ko bhī samjhāo ḳhāmosh raho
jo kuchh dekho wo na kaho KHamosh raho
socho lekin lab si lo KHamosh raho
KHuddari ka KHun karo KHamosh raho
aagahi ka karb saho KHamosh raho
tum ho mohazzab kyun karte ho shor-o-ghul
chain se apne ghar baiTho KHamosh raho
har lafDe se bhago jitna bhag sako
har jhagDe se dur raho KHamosh raho
aag lage insan maren ya shahr luTe
tum na kuDho tum mat bolo KHamosh raho
eazaz apna tum ne kyun lauTaya hai
aag parai mein na jalo KHamosh raho
sach ka sathi is dharti par koi nahin
tanha ho socho samjho KHamosh raho
bahutere hain haq-goi ke dawedar
tum hi kyun mansur bano KHamosh raho
mere bhai waqt bura hai chup baiTho
'nazish' ko bhi samjhao KHamosh raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.