KHamoshi
jaane kitnī āvāzoñ kā ḳhuun bahā kar
chain se soī hai kamre meñ ḳhāmoshī
ab koī āvāz na karnā
chup rahnā
ek bhī harf agar ġhalatī se
tere laboñ se chhūT gayā
aur gir kar farsh pe chhan se TuuT gayā to
taḌap taḌap kar mar jā.egī ḳhāmoshī
jaane kitni aawazon ka KHun baha kar
chain se soi hai kamre mein KHamoshi
ab koi aawaz na karna
chup rahna
ek bhi harf agar ghalati se
tere labon se chhuT gaya
aur gir kar farsh pe chhan se TuT gaya to
taDap taDap kar mar jaegi KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.