KHamushi
koī image kisī baat kā hasīñ saaya
na.e purāne ḳhayāloñ kā ik achhūtā mel
kisī kī yaad kā bhaTkā huā koī jugnū
kisī ke niile se kāġhaz pe chand adhūre lafz
baġhāvatoñ kā purānā ghisā piTā na.ara
kisī kitāb meñ zinda magar chhupī ummīd
purānī ġhazloñ kī ik raakh be-dilī aisī
ḳhud apne aap se uljhan ajiib be-zārī
ġharaz ki muuD ke sau rañg ā.īne partav
magar ye kyā huā ab kuchh bhī likh nahīñ saktā
na jaane kab se ye be-ma.anī ḳhāmushī be-muhīt
ḳhud apne saa.e se maiñ chhuT gayā huuñ yā shāyad
kahīñ maiñ lafzoñ kī duniyā ko chhoḌ aayā huuñ
koi image kisi baat ka hasin saya
nae purane KHayalon ka ek achhuta mel
kisi ki yaad ka bhaTka hua koi jugnu
kisi ke nile se kaghaz pe chand adhure lafz
baghawaton ka purana ghisa piTa nara
kisi kitab mein zinda magar chhupi ummid
purani ghazlon ki ek rakh be-dili aisi
KHud apne aap se uljhan ajib be-zari
gharaz ki muD ke sau rang aaine partaw
magar ye kya hua ab kuchh bhi likh nahin sakta
na jaane kab se ye be-mani KHamushi be-muhit
KHud apne sae se main chhuT gaya hun ya shayad
kahin main lafzon ki duniya ko chhoD aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.