KHana-abaadi
Interesting Fact
On a friend's wedding
tarāne guuñj uThe haiñ fazā meñ shādyānoñ ke
huā hai itr-āgīñ zarra zarra muskurātā hai
magar duur ek afsurda makāñ meñ sard bistar par
koī dil hai ki har aahaT pe yuuñ hī chauñk jaatā hai
mirī āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e nādīda āñkhoñ ke
mire dil meñ koī ġhamgīn naġhma sarsarātā hai
ye rasm-e-inqitā.a ahd-e-ulfat ye hayāt-e-nau
mohabbat ro rahī hai aur tamaddun muskurātā hai
ye shādī ḳhāna-ābādī ho mere mohtaram bhaa.ī
mubārak kah nahīñ saktā mirā dil kaañp jaatā hai
tarane gunj uThe hain faza mein shadyanon ke
hua hai itr-agin zarra zarra muskuraata hai
magar dur ek afsurda makan mein sard bistar par
koi dil hai ki har aahaT pe yun hi chaunk jata hai
meri aankhon mein aansu aa gae nadida aankhon ke
mere dil mein koi ghamgin naghma sarsaraata hai
ye rasm-e-inqitaa ahd-e-ulfat ye hayat-e-nau
mohabbat ro rahi hai aur tamaddun muskuraata hai
ye shadi KHana-abaadi ho mere mohtaram bhai
mubarak kah nahin sakta mera dil kanp jata hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 31)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.