chaar tinke uThā ke jañgal se
ek baalī anaaj kī le kar
chand qatre bilakte ashkoñ ke
chand faaqe bujhe hue lab par
muTThī bhar apnī qabr kī miTTī
muTThī bhar ārzūoñ kā gaarā
ek ta.amīr kii, liye hasrat
terā ḳhāna-ba-dosh be-chāra
shahr meñ dar-ba-dar bhaTaktā hai
terā kāñdhā mile to sar Tekūñ
chaar tinke uTha ke jangal se
ek baali anaj ki le kar
chand qatre bilakte ashkon ke
chand faqe bujhe hue lab par
muTThi bhar apni qabr ki miTTi
muTThi bhar aarzuon ka gara
ek tamir ki, liye hasrat
tera KHana-ba-dosh be-chaara
shahr mein dar-ba-dar bhaTakta hai
tera kandha mile to sar Tekun
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 9)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.