KHana-ba-dosh
shāḳhoñ pe surḳh-o-zard shagūfe haiñ mahv-e-ḳhvāb
ḳhvāb-e-girāñ se jāgne vaalā hai āftāb
gesū khule hue haiñ urūs-e-bahār ke
shāne hilā rahī hai sabā lāla-zār ke
vīrān ho chalī hai sitāroñ kī anjuman
dāmān-e-kohsār meñ jaise haiñ ḳhema-zan
vo log paikar-e-ġham-o-hirmāñ kaheñ jinheñ
betābiyoñ ke ruup meñ insāñ kaheñ jinheñ
har saañs ek mahshar-e-pinhāñ liye hue
bedāriyāñ bhī ḳhvāb-e-pareshāñ liye hue
ambār-e-ārzū se tanaffus rukā huā
ifrāt-e-ġham se ruuh kā parcham jhukā huā
nauras kañval sumūm-e-ajal kī panāh meñ
be-jān hasratoñ ke talātum nigāh meñ
sīnoñ meñ dil kashākash-e-hastī se daaġh daaġh
insāniyat kī qabr ke bujhte hue charāġh
hoñToñ pe āh-e-sard jabīñ par ġhubār-e-rāh
haiñ is zamīñ pe ḳhāk-basar kitne mehr-o-māh
shaKHon pe surKH-o-zard shagufe hain mahw-e-KHwab
KHwab-e-giran se jagne wala hai aaftab
gesu khule hue hain urus-e-bahaar ke
shane hila rahi hai saba lala-zar ke
viran ho chali hai sitaron ki anjuman
daman-e-kohsar mein jaise hain KHema-zan
wo log paikar-e-gham-o-hirman kahen jinhen
betabiyon ke rup mein insan kahen jinhen
har sans ek mahshar-e-pinhan liye hue
bedariyan bhi KHwab-e-pareshan liye hue
ambar-e-arzu se tanaffus ruka hua
ifraat-e-gham se ruh ka parcham jhuka hua
nauras kanwal sumum-e-ajal ki panah mein
be-jaan hasraton ke talatum nigah mein
sinon mein dil kashakash-e-hasti se dagh dagh
insaniyat ki qabr ke bujhte hue charagh
honTon pe aah-e-sard jabin par ghubar-e-rah
hain is zamin pe KHak-basar kitne mehr-o-mah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.