KHanam-jaan
miTTī kā badan
nāche to kiran
vo raushniyoñ meñ nāchne vaalī
ḳhānam-jān
us ke hāthoñ kī badlī meñ
mere baaz
apnā āñgan bhuul ga.e
maiñ ne kahā
maiñ ne terī do āñkhoñ meñ
kitne bistar painT kiye
jis vaqt ye kamra chhoḌūñgā
apne saare ḳhvāb
tujh se vāpas le lūñgā
ḳhānam-jān
us ne kahā
aao sub.h se pahle
ham tum
pichhle ek baras meñ marne vāloñ kī photo dekheñ
miTTi ka badan
nache to kiran
wo raushniyon mein nachne wali
KHanam-jaan
us ke hathon ki badli mein
mere baz
apna aangan bhul gae
main ne kaha
main ne teri do aankhon mein
kitne bistar painT kiye
jis waqt ye kamra chhoDunga
apne sare KHwab
tujh se wapas le lunga
KHanam-jaan
us ne kaha
aao subh se pahle
hum tum
pichhle ek baras mein marne walon ki photo dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.