KHatun-e-KHana
maiñ apnī aulād ke liye
duudh kī ek botal
apne sāhab ke liye taskīn
ghar ke liye machine
aur apne liye
ek aahaT ban ke rah ga.ī huuñ
merā ghar
jahāñ mujhe raat aur din
intizār ke dahakte hue lams
lapeT kar sonā paḌ rahā hai
ḳhayāl kī adh-silī baas se
kalā.iyoñ ke gajre gūñdh kar
siñghār karnā paḌ rahā hai
tanhā.iyoñ ke savāl
hoñT kī surḳhiyoñ kī
tahoñ meñ dabā kar
alvidā'ī bosoñ kā
javāb sahnā paḌ rahā hai
ḳhamosh TaToltī huī
putliyāñ kājaloñ kī lakīroñ kī jagah
sajā kar āñsuoñ ke darmiyān
hañsnā paḌ rahā hai
merā ghar jahāñ mujhe ashyā-e-sarf kī tarah
rahnā paḌ rahā hai
main apni aulad ke liye
dudh ki ek botal
apne sahab ke liye taskin
ghar ke liye machine
aur apne liye
ek aahaT ban ke rah gai hun
mera ghar
jahan mujhe raat aur din
intizar ke dahakte hue lams
lapeT kar sona paD raha hai
KHayal ki adh-sili bas se
kalaiyon ke gajre gundh kar
singhaar karna paD raha hai
tanhaiyon ke sawal
honT ki surKHiyon ki
tahon mein daba kar
alwida'i boson ka
jawab sahna paD raha hai
KHamosh TaTolti hui
putliyan kajalon ki lakiron ki jagah
saja kar aansuon ke darmiyan
hansna paD raha hai
mera ghar jahan mujhe ashya-e-sarf ki tarah
rahna paD raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.