KHabar mafqud hai lekin
ḳhabar mafqūd hai lekin
lahū meñ bhāgtī ḳhvāhish umīdoñ ke hare sāhil pe hairāñ hai
use kashf-e-sahar jo bhī huā
sūraj se ḳhālī hai
use jo rāste sauñpe ga.e taqsīm hote zāviyoñ meñ saañs lete haiñ
khulī āñkhoñ meñ raushan
chāñd tāroñ ke chamakne se bahut pahle
ġhanīm-e-vus.at-e-dāmāñ
hazāroñ chaah DhūñDh letā hai
ḳhabar mafqūd hai lekin
hisār-e-zāt se niklā huā jazba
sar-e-mehrāb-o-member dār-o-maqtal tak nahīñ aayā
huā sattar qadam kā marsiya maile phaTe malbūs
ghoḌoñ ke sumoñ se meḳh hotī aarzū apnī gavāhī kis tarah degī
muayyan hausle sandūqchoñ meñ jāñ-ba-lab haiñ
aur tavānā bāzuoñ meñ
chūḌiyoñ kī misl zanjīr-e-kuhan āvāz detī hai
ḳhabar mafqūd hai lekin
kaho tum to kaho jo baat kahnā hai
KHabar mafqud hai lekin
lahu mein bhagti KHwahish umidon ke hare sahil pe hairan hai
use kashf-e-sahar jo bhi hua
suraj se KHali hai
use jo raste saunpe gae taqsim hote zawiyon mein sans lete hain
khuli aankhon mein raushan
chand taron ke chamakne se bahut pahle
ghanim-e-wusat-e-daman
hazaron chah DhunDh leta hai
KHabar mafqud hai lekin
hisar-e-zat se nikla hua jazba
sar-e-mehrab-o-member dar-o-maqtal tak nahin aaya
hua sattar qadam ka marsiya maile phaTe malbus
ghoDon ke sumon se meKH hoti aarzu apni gawahi kis tarah degi
muayyan hausle sanduqchon mein jaan-ba-lab hain
aur tawana bazuon mein
chuDiyon ki misl zanjir-e-kuhan aawaz deti hai
KHabar mafqud hai lekin
kaho tum to kaho jo baat kahna hai
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 164)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.