KHabren
peḌ pahāḌ gagan
jis jagah thā jo
ab bhī vahīñ hai
halchal machā ke thoḌī sī
Duub gayā hai tālāb kī gumnāmī meñ
kankar
mil jā.egā vāpas
koshish karoge agar
vo bhī hai vaisā hī jaisā thā
apnī jagah pe hī dauḌ ke
paanī meñ har aks
rukā huā hai
manzar saare kā saarā
Thahrā huā hai
har shai sākit-o-jāmid hai
lekin maiñ jahāñ thā
ab vahāñ nahīñ huuñ
peD pahaD gagan
jis jagah tha jo
ab bhi wahin hai
halchal macha ke thoDi si
Dub gaya hai talab ki gumnami mein
kankar
mil jaega wapas
koshish karoge agar
wo bhi hai waisa hi jaisa tha
apni jagah pe hi dauD ke
pani mein har aks
ruka hua hai
manzar sare ka sara
Thahra hua hai
har shai sakit-o-jamid hai
lekin main jahan tha
ab wahan nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.