khaDDiyon par bane log
log marte haiñ
thrē-peas suiT meñ
tañg hotī vardī meñ
Taḳhne taqsīm kartī shalvāroñ
ghuTī tamannā
yā vasl ke sayyāl se
chipakte zer-jāmoñ meñ
insān unheñ dikhtā hai
āḳhirī rusūmāt ke daurān
yā jab use
vasl ke ġhaar se dhakelā jaatā hai
khaDDiyoñ par bane log
umr bhar ek dūsre ko
insān kī bāteñ sunāte haiñ
log marte hain
three-peas suiT mein
tang hoti wardi mein
TaKHne taqsim karti shalwaron
ghuTi tamanna
ya wasl ke sayyal se
chipakte zer-jamon mein
insan unhen dikhta hai
aaKHiri rusumat ke dauran
ya jab use
wasl ke ghaar se dhakela jata hai
khaDDiyon par bane log
umr bhar ek dusre ko
insan ki baaten sunate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.