KHala
chaar sū ik udaas manzar hai
ziist hai jaise ek vīrāna
jaane kyoñ phaT rahā hai aaj dimāġh
ho na jā.ūñ kahīñ maiñ dīvāna
dost kahte haiñ sair kar aa.eñ
mauj kar aa.eñ dil ko bahlā.eñ
koī dilbar na dil-nashīñ koī
koī gul-rū na mah-jabīñ koī
jī machal jaa.e jis se milne ko
haa.e is dahr meñ nahīñ koī
chāñd tāroñ kī raushnī be-sūd
sair-e-dariyā kī baat bhī be-sūd
gulsitāñ kī kalī kalī be-sūd
ham-nashīnoñ kī dil-lagī be-sūd
dil ko lagtā hai aaj rah rah kar
jaise hai merī zindagī be-sūd
maah aur saal kitne biit ga.e
be-sabab be-husūl be-manshā
haa.e lekin ye ek ik lamha
kuchh bhī kiije guzar nahīñ paatā
chubh rahā hai jigar meñ ik kāñTā
kaash merā bhī koī ho jaatā
kaash merā bhī koī ho jaatā
kaash merā bhī koī ho jaatā
chaar su ek udas manzar hai
zist hai jaise ek virana
jaane kyon phaT raha hai aaj dimagh
ho na jaun kahin main diwana
dost kahte hain sair kar aaen
mauj kar aaen dil ko bahlaen
koi dilbar na dil-nashin koi
koi gul-ru na mah-jabin koi
ji machal jae jis se milne ko
hae is dahr mein nahin koi
chand taron ki raushni be-sud
sair-e-dariya ki baat bhi be-sud
gulsitan ki kali kali be-sud
ham-nashinon ki dil-lagi be-sud
dil ko lagta hai aaj rah rah kar
jaise hai meri zindagi be-sud
mah aur sal kitne bit gae
be-sabab be-husul be-mansha
hae lekin ye ek ek lamha
kuchh bhi kije guzar nahin pata
chubh raha hai jigar mein ek kanTa
kash mera bhi koi ho jata
kash mera bhi koi ho jata
kash mera bhi koi ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.